Monday, May 21, 2018

Bichhda Jo Ek Baar To Miltey Nahin Dekha

Bichhda jo ek baar to miltey 
nahin dekha,
Iss zakhm ko hum ne kabhi siltey 
nahin dekha,

Ek baar jissey chaat gayi dhoop 
ki khwaahish,
Phir shaakh pe uss phool ko khiltey 
nahin dekha,

Yak-lakht gira hai to jadeinn tak 
nikal aayin,
Jiss ped ko aandhi main bhi hiltey 
nahin dekha,

Kaanton main girey phool ko choom 
aayegi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhiltey 
nahin dekha,

Kiss tarah meri rooh ko harri kar 
gaya akhir,
Wo zahar jisse jism main khiltey 
nahin dekha..!!

- Parween Shakir 
___
Yak-lakht = all at once, suddenly, altogether entirely, wholly

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...