Sunday, May 6, 2018

Bigdi Baat Banana Mushkil Bigdi Baat Banaye Kaun

Bigdi baat banana mushkil bigdi baat banaye kaun,
Kunj-e-tamanna veerana hai aa kar phool khilaye kaun,

Tan ki daulat man ki daulat sab khwaabon ki baatein hain,
Nau man tel na ho to ghar mein radha ko nachwaye kaun,

Apna ghum ab khud hi utha le warna ruswaai hogi,
Tera bhed chhupa kar dil mein naahaq bojh uthaye kaun,

Chalti gaadi naam ka rishta kya mohan kya radha aaj,
Ban ke sanwar ke raas racha ke mohan aaj manaye kaun,

Saagar paar ki khabrein dekhe hum-saaye ka pata nahin,
Aaj ka insaan aalam fazil us ko ab samjhaaye kaun,

Na-ummeedi naam-e-tamanna apna muqaddar hijr-e-musalsal,
Dard ke khaaristan mein aa ke daaman-e-dil uljhaye kaun,

Raat bhi kaali chadar odhe aa pahunchi hai zeene mein,
Mehndi lagaye baithi soche lat uljhi suljhaye kaun.!!

"Kishwar Naheed"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...