Sunday, May 6, 2018

Ai Husn-e-lala-faam! Zara Aankh To Mila

Ai husn-e-lala-faam! zara aankh to mila,
Khaali pade hain jaam! zara aankh to mila,

Kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi,
Duniya ke chhorh kaam! zara aankh to mila,

Kya wo na aaj aayenge taaro'n ke saath saath,
Tanhaaiyon ki shaam! zara aankh to mila,

Ye jaam ye subu ye tasawwur ki chaandni,
Saaqi kahaan mudaam! zara aankh to mila,

Saaqi mujhe bhi chahiye ek jaam-e-aarzu,
Kitne lagenge daam! zara aankh to mila,

Pamaal ho na jaaye sitaaron ki aabru,
Ai mere khush-khiraam! zara aankh to mila,

Hain raah-e-kahkashaan mein azal se khade hue,
'Saghar' tere ghulaam! zara aankh to mila.!!

"Saghar Siddiqui"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...