Bheetar basne waala khud baahar ki sair kare, maula khair kare,
Ek murat ko chaahe phir kaabe ko dair kare, maula khair kare..
Ishq-vishq ye chahat-waahat man ka bhulawa phir man bhi apna kya,
Yaar ye kaisa rishta jo apnon ko ghair kare, maula khair kare..
Ret ka tooda aandhi ki faujon par teer chalaye, tahni ped chabaye,
Chhoti machhli dariya mein ghadiyaal se bair kare, maula khair kare..
Soch ki kaafir har murat pe jaan chhidakta hai, bin paanw thirakta hai,
Man ka musalman ab qible ki jaanib pair kare, maula khair kare..
Fikr ki chaak pe maati ki tu shakl badalta hai ya khud hi dhhalta hai,
'Bekal' be-par lafzon ki takheel ko tayer kare, maula khair kare.!!
"Bekal Utsahi"
No comments:
Post a Comment