Aasteen mein saanp ek palta raha,
Hum ye samjhe haadsa talta raha,
Aap to ek baat kah kar chal diye,
Raat-bhar bistar mera jalta raha,
Ek ghum se kitne ghum paida hue,
Dil humara phoolta-phalta raha,
Zindagi ki aas bhi kya aas hai,
Mauj-e-dariya par diya jalta raha,
Ek nazar tinka bani kuchh is tarah,
Der tak aankhein koi malta raha,
Ye nishaan kaise hain 'Baqi' dekhna,
Kaun dil ki raakh par chalta raha.!!
"Baqi Siddiqui"
No comments:
Post a Comment