Bekhudi pe tha 'Faani' kuchh na ikhtiyaar apna,
Mmr bhar kiya naahaq hum ne intizaar apna,
Taab-e-zabt-e-ghum ne bhi de diya jawaab aakhir,
Un ke dil se uthta hai aaj aitibaar apna,
Ishq zindagi thehra lekin ab ye mushkil hai,
Zindagi se hota hai ahd ustuwaar apna,
Shikwa barmala karte khair ye to kya karte,
Haan magar jo ban padta shikwa ek baar apna,
Ghum hi ji ka dushman tha ghum se door rahte the,
Ghum hi rah gaya aakhir ek ghum-gusaar apna,
Le gaya chaman ko bhi mausam-e-bahaar aa kar,
Ab qafas ka gosha hai haasil-e-bahaar apna,
Jhooth hi sahi waada kyun yaqeen na kar lete,
Baat dil-fareb un ki dil ummid-waar apna,
Inqilaab-e-aalam mein warna der hi kya thi,
Un ke aastaan tak tha khair se ghubaar apna,
Dil hai muztarib 'Faani' aankh mahw-e-hairat hai,
Dil ne de diya shayad aankh ko qaraar apna.!!
"Faani Badayuni"
No comments:
Post a Comment