Wednesday, May 23, 2018

Bade Khuloos Se Daaman Pasaarta Hai Koi

Bade khuloos se daaman pasaarta hai koi,
Khuda ko jaise zameen par utaarta hai koi 

Na poochh kya tere milne ki aas hoti hai,
Kahaan guzarti hai kaise guzaarta hai koi,

Baja hai shart-e-wafa shart-e-zindagi bhi to ho,
Bacha sake to bacha le ki haarta hai koi,

Wo kaun shakhs hai kya naam hai khuda jaane,
Andheri raat hai kis ko pukaarta hai koi,

Chala hun phir sipar-e-taab-e-ghum uthaye hue,
Nashat-e-wasl ke raste pe maarta hai koi,

Charaagh rakh ke sar-e-shaam dil ke zeena par,
Mujhe khabar nahin hoti sudhaarta hai koi,

Ye sar ka bojh nahin dil ka bojh hai ise 'Shaaz',
Kahaan utarta hai lekin utaarta hai koi.!!

"Shaaz Tamkanat"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...