Aabla-paai se veerana mahak jaata hai,
Kaun phoolon se mera raasta dhak jaata hai,
Maslahat kahti hai wo aaye to kyun aaye yahaan,
Dil ka ye haal har aahat pe dhadak jaata hai,
Kya sar-e-shaam na lautunga nasheman ki taraf,
Kya andhera ho to jugnu bhi bhatak jaata hai,
Ek deewana bhatakta hai bagula ban kar,
Ek aahu kisi waadi mein thithak jaata hai,
Koi aawaz kahin goonj ke rah jaati hai,
Koi aansu kisi aariz pe dhalak jaata hai,
Qaafila umr ka paiham safar-aamada sahi,
Shajar-e-saaya-fagan dekh ke thak jaata hai,
'Shaaz' is koshish-e-tamkeen pe bahut naaz na kar,
Ye charagh-e-tah-e-daaman bhi bhadak jaata hai.!!
"Shaaz Tamkanat"
__________
Shajar-e-saya-fagan = shadow-casting tree,
No comments:
Post a Comment