Monday, May 21, 2018

Apni Tanhaai Mere Naam Pe Aabaad Karey

Apni tanhaai mere naam pe 
aabaad karey,
Kaun hoga jo mujhey uss ki tarah 
yaad karey,

Dil ajab sheher ke jis pr bhi khula 
dar us ka,
Woh musaafir isey har samt se
barbaad karey,

Apne qaatil ki zahaanat se pareshaan 
hoon main
Roz ek maut naye tarzz ki 
ijaad karey,

Itna hairaan ho meri be-talbi 
ke aagey,
Wo qafas main dar khud mera 
sayyaad karey

Salb-e-binaayi ke ehkaam mile hain 
jo kabhi,
Roshni chhuune ki khwaahish koi
shab-zaad karey

Soch rakhnaa bhi jaraaim main 
hai shaamil ab to,
Wohi maasoom hai har baat pe jo 
saad karey

Jab lahuu bol padey us ke gawaaho'n 
ke khilaaf,
Qaazi-e-sheher kuch is baab main 
irshaad karey

Uss ki mutthi main bahut roz raha 
mera wajood,
Mere saahir se kaho ab mujhe 
aazaad karey..!!

- Parween Shakir 
___

Be-talbi = without demand
Salb-e-binaayi = losing eyesight
Ehkaam = orders, commands, injunctions 
Shab-zaad = insomniac, someone who keeps awake at night,
Jaraaim = crimes,
Qaazi-e-sheher = chief of city

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...