Apni ruswaayi tere naam ka
charcha dekhoon,
Ek zaraa sheyr kahoon aur main
kya kya dekhoon
Neend aa jaye to kya mehfilein
barpaa dekhoon,
Aankh khul jaaye to tanhaayi ka
sehraa dekhoon
Shaam bhi ho gayi dhundhlaa gayi
aankhen bhi meri,
Bhoolne waaley main kab tak tera
raasta dekhoon
Ek ek kar ke mujhey chhod gayin sab
sakhiyaan,
Aaj main khud ko teri yaad mai
tanhaa dekhoon,
Kaash sandal se meri maang
ujaaley aa kar,
Itne ghairon mai wahi haath jo
apna dekhoon,
Tu mera kuch nahin lagta hai magar
jaan-e-hayaat,
Jaane kyun tere liye dil ko
dhadakta dekhoon,
Band kar ke meri aankhen woh
sharaarat se hansey,
Bujhe jaane ka main har roz
tamaasha dekhoon,
Sab zidein uss ki main puri karoon
har baat sunoon,
Ek bachche ki tarah se usey
hansta dekhoon,
Mujh pe chhaa jaye woh barsaat ki
khushbuu ki tarah,
Angg angg apna isi rut
mehektaa dekhoon,
Phool ki tarah mere jism ka har
lab khul jaaye,
Pankhudi pankhudi un honthon ka
saaya dekhoon,
Main ne jis lamhey ko pooja hai
usey bas ek baar,
Khwaab ban kar teri aankhon main
utarta dekhoon,
Tu meri tarah se yaktaa hai magar
mere habeeb,
Jee me aata hai koii aur bhi
tujh sa dekhoon,
Toot jaayen ke pighal jaayen mere
kachchh gharhey,
Tujh ko main dekhoon ke yeh aag ka
dariyaa dekhoon..!!
- Parween Shakir
No comments:
Post a Comment