Ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana...
Mein teri maang sitaron se nahin bhar sakta,
Tere daaman ko bahaaron se nahin bhar sakta,
Meri be-rang fazaon mein kahaan shaam o sahar,
Mere tareek gharaunde mein kahaan tera guzar,
Mere sahra se gulistaanon ki ummid na kar,
Ujdi duniya se shabistaanon ki ummid na kar,
Ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana...
Meri khaatir ye mahal aur ye mehraab na chhorh,
Khwab-gaahon ke masarrat se bhare khwab na chhorh,
Raushni chhorh ke dar aa na siyah-khane mein,
Shama raushan ho bhala kyun kisi veerane mein,
Main tujhe koi haseen taj nahin de sakta,
Kal to kal hai main tujhe aaj nahin de sakta,
Ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana..!!
"Sabir Dutt"
No comments:
Post a Comment