Monday, May 28, 2018

Ai Ajal Ai Jaan-e'Faani Tu Ne Ye Kya Kar Diya

Ai ajal ai jaan-e-'Faani' tu ne ye kya kar diya,
Maar daala marne waale ko ke achchha kar diya..

Jab tera zikr aa gaya hum daf'atan chup ho gaye,
Wo chhupaya raaz-e-dil hum ne ke ifsha kar diya..

Kis qadar be-zaar tha dil mujh se zabt-e-shauq par,
Jab kaha dil ka kiya zaalim ne ruswa kar diya..

Yun churaayin us ne aankhein saadgi to dekhiye,
Bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya..

Dardmandaan-e-azal par ishq ka ahsaan nahin,
Dard yaan dil se gaya kab tha ke paida kar diya..

Dil ko pahlu se nikal jaane ki phir rat lag gayi,
Phir kisi ne aankhon aankhon mein taqaza kar diya..

Ranj paaya dil diya sach hai magar ye to kaho,
Kya kisi ne de ke paaya kis ne kya pa kar diya..

Bach raha tha ek aansu-daar-o-geer-e-zabt se,
Joshish-e-ghum ne phir is qatre ko dariya kar diya..

'Faani'-e-mahjoor tha aaj aarzu-mand-e-ajal,
Aap ne aa kar pashemaan-e-tamanna kar diya.!!

"Faani Badayuni"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...