Achchha tumhaare shahar ka dastoor ho gaya,
Jis ko gale laga liya wo door ho gaya,
Kaaghaz mein dab ke mar gaye keede kitaab ke,
Deewana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya,
Mahlon mein hum ne kitne sitaare saja diye,
Lekin zameen se chaand bahut door ho gaya,
Tanhaiyon ne tod di hum donon ki ana,
Aaina baat karne pe majboor ho gaya,
Daadi se kahna us ki kahani sunaaiye,
Jo baadshah ishq mein mazdoor ho gaya,
Subah-e-wisaal poochh rahi hai ajab sawaal,
Wo paas aa gaya ke bahut door ho gaya,
Kuchh phal zaroor aayenge roti ke ped mein,
Jis din mera mutaalba manzoor ho gaya..!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment