Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palkein sanwaar lun,
Mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utaar lun,
Main tamaam din ka thaka hua tu tamaam shab ka jaga hua,
Zara thehar ja isi mod par tere saath shaam guzaar lun,
Agar aasman ki numaaishon mein mujhe bhi izn-e-qayaam ho,
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haar lun,
Kahin aur baant de shohratein kahin aur bakhsh de izzatein,
Mere paas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubaar lun,
Kayi ajnabi teri raah mein mere paas se yoon guzar gaye,
Jinhein dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukaar lun..!!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment