Friday, March 2, 2018

Jo Cheez Thi Kamre Mein Wo Be-rabt Padi Thi

Jo cheez thi kamre mein wo be-rabt padi thi,
Tanhaai-e-shab band-e-qaba khol rahi thi,

Aawaz ki deewar bhi chup-chaap khadi thi,
Khidki se jo dekha to gali oongh rahi thi,

Baalon ne tera lams to mahsoos kiya tha,
Lekin ye khabar dil ne badi der se di thi,

Haathon mein naya chaand pada haanp raha tha,
Raanon pe barahna si nami reng rahi thi,

Yaadon ne use tod diya maar ke patthar,
Aaine ki khandaq mein jo parchhaai padi thi,

Duniya ki guzarte hue padti thin nigaahein,
Sheeshe ki jagah khidki mein ruswaai jadi thi,

Tooti hui mehraab se gumbad ke khandar tak,
Ek boodhe mo'azzin ki sada goonj rahi thi..!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...