Jeeta hai sirf tere liye kaun, mar ke dekh,
Ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh,
Manzil yahin hai aam ke pedon ki chhanw mein,
Ai shahsawaar ghode se neeche utar ke dekh,
Toote pade hain kitne ujaalon ke ustukhwaa'n,
Saaya-numa andhere ke andar utar ke dekh,
Phoolon ki tang-daamani ka tazkira na kar,
Khushbu ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh,
Tujh par khulenge maut ki sarhad ke raaste,
Himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh,
Dariya ki wus'aton se use naapte nahin,
Tanhaai kitni gahri hai ek jaam bhar ke dekh..!!
"Adil Mansuri"
___
Ustukhwaa'n = bone/ skeleton,
No comments:
Post a Comment