Haath se naapta hun dard ki gahraai ko,
Ye naya khel mila hai meri tanhaai ko,
Tha jo seene mein charagh-e-dil-pur-khoon na raha,
Chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko,
Dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin,
Kya karein aap ki is hausla-afzaai ko,
Khair badnaam to pahle bhi bahut the lekin,
Tujh se milna tha ki par lag gaye ruswaai ko,
Nigaah-e-naaz na milte hue ghabra hum se,
Hum mohabbat nahin kahne ke shanasaai ko,
Dil hai nairangi-e-ayyam pe hairaan ab tak,
Itni si baat bhi maloom nahin bhai ko..!!
"Ahmad Mushtaq"
___
Shakebaai = patience,
Nairangi-e-ayyam = a wonderful performance, a miracle; anything new or strangeness of days,
No comments:
Post a Comment