Tuesday, March 13, 2018

Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gaye

Go zara si baat par barson ke yarane gaye,
Lekin itna to hua kuchh log pahchane gaye..

Garmi-e-mahfil faqat ek naara-e-mastana hai,
Aur wo khush hain ke is mahfil se deewane gaye..

Main ise shohrat kahun ya apni ruswaai kahun,
Mujh se pahle us gali mein mere afsane gaye..

Wahshatein kuchh is tarah apna muqaddar ban gayin,
Hum jahaan pahunche humare saath veerane gaye..

Yoon to wo meri rag-e-jaan se bhi the nazdeek-tar, and
Aansuon ki dhund mein lekin na pahchane gaye..

Ab bhi un yaadon ki khushbu zehn mein mahfooz hai,
Baar-ha hum jin se gulzaaron ko mahkane gaye..

Kya qayamat hai ke 'khaatir' kushta-e-shab the bhi hum,
Subah bhi aai to mujrim hum hi gardane gaye.!!

"Khaatir Ghaznavi"


گو ذرا سی بات پر برسوں کے یارانے گئے
لیکن اتنا تو ہوا کچھ لوگ پہچانے گئے

میں اسے شہرت کہوں یا اپنی رسوائی کہوں
مجھ سے پہلے اس گلی میں میرے افسانے گئے

یوں تو وہ میری رگِ جاں سے بھی تھے نزدیک تر
آنسوؤں کی دھند میں لیکن نہ پہچانے گئے

وحشتیں کچھ اس طرح اپنا مقدر ہو گئیں
ہم جہاں پہنچے، ہمارے ساتھ ویرانے گئے

اب بھی ان یادوں کی خوشبو ذہن میں محفوظ ہے
بارہا ہم جن سے گلزاروں کو مہکانے گئے

کیا قیامت ہے کہ خاطر کشتۂ شب بھی تھے ہم
صبح بھی آئی تو مجرم ہم ہی گردانے گئے

"خاطر غزنوی"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...