Tumhein hum chaahte to hain magar kya,
Mohabbat kya mohabbat ka asar kya,
Wafa ka naam to peechhe liya hai,
Kaha tha tum ne is se peshtar kya,
Hazaaro'n baar bigde raat bhar mein,
Nibhegi tum se apni umr bhar kya,
Nazar milti nahin uthti nahin aankh,
Koi poochhe ke hai madd-e-nazar kya,
Shikayat sun ke wo 'Bekhud' se bole,
Tujhe ai be-khabar meri khabar kya.!!
"Bekhud Dehlvi"
No comments:
Post a Comment