Wednesday, December 13, 2017

Us Ki Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitaara Hoga

Us ki aankhon mein mohabbat ka sitaara hoga,
Ek din aaye ga woh shakhs humaara hoga,

Tum jahaan mere liye seepiyaan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,

Zindagi! ab mera naam na shaamil karna,
Gar yeh tay hai yahi khel dobaraa hoga,

Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,

Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chup ke se tera naam pukaara hoga,

Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zahan mein aaya to khasaara hoga,

Yeh jo paani mein chala aaya sunahri sa ghuroor,
Us ne dariyaa main kahin paaon utaara hoga,

Kaun rota hai yahaan hijr ke sannaatton mein,
Mere jaisa hi koi hijr ka maara hoga,

Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,

Jo meri rooh main baadal se garajte hain "Wasi",
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka "Wasi" jab bhi ishaara hoga..!!

"Wasi Shah"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...