Kisi ki aankh se sapne churaa kar kuch nahin milta,
Munderon se charaaghon ko bhuja kar kuch nahin milta,
Sukoon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi,
Jinhein apne watan se dil laga kar kuch nahin milta,
Usey kahna ke palkon pe na taanke khwaab ki jhaalar,
Samandar ke kinaare ghar bana kar kuch nahin milta,
Na jaane kaun se jazbe ki yoon taskeen karta hoon,
Bazaahir to tumhaare khat jalaa kar kuch nahin milta,
Usey main pyaar karta hoon to mujh ko chain aata hai,
Woh kahta hai usey mujh ko sataa kar kuch nahin milta,
Mujhe aksar sitaaron se yahi aawaaz aati hai,
Kisi ke hijr main neendain ganwaa kar kuch nahin milta,
Jigar ho jaaye ga chhalni, yeh aankhain
khoon royen gi,
"Wasi", be-faiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..!!
"Wasi Shah"
No comments:
Post a Comment