Saturday, December 2, 2017

Tum Bhi Khafa Ho, Log Bhi Barham

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Barham Hain Dosto,
Ab Ho Chala Yaqeen Ke Bure Hum Hain Dosto ...

Kis Ko Humaare Haal Se Nisbat Hai Kya Karein,
Aankhein To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto...

Apne Siwa Humaare Na Hone Ka Gham Kise,
Apni Talaash Mein To Hum Hi Hum Hain Dosto... 

Kuchh Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha,
Kuchh Shahar Ke Chiragh Bhi Maddham Hain Dosto...

Is Shahr-E-Aarzoo Se Bhi Baahar Nikal Chalo,
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dum Hain Dosto...

Sab Kuchh Sahi ’Faraz’ Par Itna Zaroor Hai,
Duniya Mein Aise Log Bahut Kam Hain Dosto..!!

"Ahmad Faraz"
__________________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...