Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo,
Sabhi hain bheed main tum bhi nikal sako to chalo,
Kisi ke waastay raahein kahaan badalti hain,
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo,
Yahaan kisi ko koi raasta nahin deta,
Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo,
Kahin nahin koi sooraj dhuaan dhuaan hai fazaa,
Khud apne aap se baahar nikal sako to chalo,
Yahi hai zindagi kuch khwaab, chaand
ummeedein,
Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..!!
Nida Fazli
No comments:
Post a Comment