Monday, December 4, 2017

Meri Teri Nigaah Mein Jo Laakh Intezaar Hain

* Nazm *
__________

meri teri nigaah mein
jo laakh intezaar hain,
jo mere tere tan badan mein
laakh dil-fighaar hain,

jo meri teri ungaliyon ki
be-hisi se sab qalam nazaar hain,
jo mere tere shahar ki har ek gali mein
mere tere naqsh-e-paaa ke
be-nishaan mazaar hain,

jo meri teri raat ke
sitaare zakhm zakhm hain,
jo meri teri subah ke
gulaab chaak chaak hain,
ye zakhm saare be-dawaa
ye chaak saare be-rafuu,
kisi pe raakh chaand ki
kisi pe os ka lahoo,

ye hain bhi yaa nahin bataa
ye hai ki mahaz jaal hai,
mere tumhaare ankabuut-e-waham ka buna hua,
jo hai to is ka kya karein
nahin hai to bhi kya karein
bataa, bataa, bataa, bataa..!!

"Faiz Ahmad Faiz"

میری تیری نگاہ میں
جو لاکھ انتظار ھیں
جو میرے تیرے تن بدن
لاکھ دل فگار ھیں
جو میری تیری انگلیوں کی
بے حِسی سے ، سب قلم نزار ھیں
جو میرے تیرے شہر کی ھر اِک گلی میں
میرے ، تیرے نقشِ پا کے
بے نشاں مزار ھیں
جو میری تیری رات کے
ستارے زخم ، زخم ھیں
جو میری تیری صُبح کے
گلاب چاک چاک ھیں
یہ زخم سارے بے دوا
یہ چاک سارے بے رَفُو
کسی پہ راکھ چاند کی
کسی پہ اوس کا لہو
یہ ھے بھی یا نہیں، بتا
یہ ھے، کہ محض جال ھے
میرے ، تمہارے عنکبوتِ وھم کا بُنا ھُوا
جو ھے تو اِس کا کیا کریں ؟؟
نہیں ھے تو بھی کیا کریں ؟؟
بتا، بتا , بتا، بتا”

فیض احمد فیض“

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...