Wednesday, December 13, 2017

Kahin Jaaye Usay Meri Duaa'ein Yaad Karti Hain

Kahin jaaye usay meri duaa'ein yaad karti hain,
Usay kahna usay meri wafaa'ein yaad karti hain...

Mein aksar aainay ke saamnay be'chain rahti hoon,
Kisi ne khat mein likha hai adaa'ein yaad karti hain...

Usay kahna khizaa'ein aa gayi hain ab to laut aaye,
Usay kehna December ki hawaa'ein yaad karti hain...

Usay kahna ke aankhon par ghani badli si chhaaii hai,
Jinhein dil par barasna hai ghataa'ein yaad karti hain...

Gaya tha jab to meri khwahishein bhi saath le jaata,
Lahoo mein naachti kuch iltijaa'ein yaad karti hain..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...