Monday, January 1, 2018

Dil Mein Hai Talab Aur Dua Aur Tarah Ki

Dil mein hai talab aur dua aur tarah ki,
Hai khaak-nasheeni ki saza aur tarah ki,

Jab raakh se utthega kabhi ishq ka shola,
Phir paayegi ye khaak shifa aur tarah ki,

Jsate hue mausam ki to pahchaan yahi hai,
Dastak mein mujhe dega sada aur tarah ki,

Hai hijr ka pairaaya-e-fan aur tarah ka,
Aur wasl-kahaani hai zara aur tarah ki,

Shab bhi hai wahi hum bhi wahi tum bhi wahi ho,
Hai ab ke magar apni saza aur tarah ki.!!

"Bushra Ejaz"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...