Bahut khamosh rah kar jo...
Sadaayein mujh ko deta tha,
Bade sundar se jazbon ki...
Wafaain mujh ko daita tha,
Kabhi jo dard ki aatish mujhe...
Sulgaanay lagti thi,
Woh apnay saans ki...
Mahki hawaayein mujh ko daita tha,
Usay main ajnabi samjha...
Magar har mor par ‘mohsin’,
Woh apnay naam ki saari...
Duayein mujh ko daita tha.!
___________________________
No comments:
Post a Comment