Aisa hai ke sab khwaab musalsal
nahin hote,
Jo aaj hote hain magar kal
nahin hote,
Andar ki fazaaon ke karishme
bhi ajab hain,
Menh toot ke barse bhi to badal
nahin hote,
Kuch mushkilen aisi hain ke asaan
nahin hoti'n,
Kuch aise mu'amme hain kabhi hal
nahin hote,
Sha'istagi-e-ghum ke sabab aankhon
ke sehraa,
Namnaak to ho jaate hain jal-thal
nahin hote,
Kaise hi talaatum ho'n magar
qulzum-e-jaa'n main,
Kuch yaad jazeere hain ke ojhal
nahin hote,
Ushshaq ke maanind kai ehl-e-hawas
bhi,
Pagal to nazar aate hain pagal
nahin hote,
Sab khwaahishen poori ho'n faraz
aisa nahin hai,
Jaise kai ash'aar mukammal
nahin hote..!!
_ Ahmad Faraz
___
Mu'amme = puzzles,
Sha'istagi-e-ghum = genteelness of sorrow,
Talaatum = dashing of waves, sea-storm,
Qulzum-e-jaa'n = river of life,
Ushshaaq = lovers,
Ehl-e-hawas = people of lust,
___
No comments:
Post a Comment