Friday, November 24, 2017

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala

Dost ban kar bhi nahi saath nibhaane wala,
Wohi andaaz hai zaalim ka zamaane wala,

Ab usay log samjhte hain giraftaar mera,
Sakht naadim hai mujhe daam main laane wala,

Subah-dam chhorh gaya nikhat-e-gul ki surat,
Raat ko guncha-e-dil mein simat
aane wala,

Kya kahein kitne maraasim they humare us se,
Wo jo ek shakhs hai munh phair ke jaane wala,

Tere hote huye aa jaati thi saari dunia,
Aj tanha hoon to koi nahi aane wala,

Muntazir kis ka hoon tooti hoi dahleez pe main,
Kaun aaye ga yahaan, kaun hai aane wala,

Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna,
Hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala,

Main ne dekha hai bahaaron mai chaman ko jalte,
Hai koi khwaab ki taabeer batane wala,

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz,
Dost hota nahi har haath milaane wala..!!

_ Ahmad Faraz
__________

Naadim = ashamed, penitent, repenting
शर्मिंदा, लज्जित,
Daam = a trap, price, cost
फंदा, जाल, पैसा,
Subah-dam = morning time,
Nik'hat-e-gul = fragrance of flower,
Guncha-e-dil = bud of heart,
Sar-e-daar = at the gallows, at the tomb,
Ikhlaas = sincerity, great affection,
___

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...