Wednesday, November 29, 2017

Wo Kahti Hai... Suno Jaanaa,

Wo Kahti Hai... Suno Jaanaa,
Mohabbat Maum Ka Ghar Hai,
Tapish Ye Bad-gumaani Ki
Kahi'n Pighla Na De Is Ko.....
Main Kahta Hoon Ke Jis Dil Mein
Zara Bhi Bad-gumaani Ho
Wahaan Kuch Aur Ho To Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti.....
Wo Kahti Hai, Sadaa Aise Hi
Kya Tum Mujh Ko Chaahoge,
Ke Main Is Mein Kami Koi
Gawaara Kar Nahi Sakti.....
Main Kahta Hoon, Mohabbat Kya Hai.?..
Ye Tum Ne Sikhaya Hai,
Mujhe Tum Se Mohabbat Ke Siwaa Kuch Bhi Nahi Aata.....
Wo Kahti Hai, Judaai Se Bahut Darta Hai Mera Dil,
Ke Khud Ko Tum Se Hatt Ke Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab.....
Main Kahta Hoon, Yahi Khadshe
Bahut Mujh Ko Sataate Hain,
Magar Sach Hai
Mohabbat Mein Judaai Saath Chalti Hai,
Wo Kahti Hai, Bataao Kya
Mere Bin Ji Sakoge Tum,
Meri Baatein, Meri Yaadein, Meri Aankhein Bhula Doge,
Main Kahta Hoon, Kabhi Is Baat Par 
Socha Nahi Maine,
Magar Ek Pal Ko Bhi Sochun To Ye Saansein Rukne Lagti Hain.....
Wo Kahti Hai, Tumhein Mujh Se
Mohabbat Is Qadar Kyoon Hai,
Ke Mai Ek Aam Si Ladki Tumhein Kyoon Khaas Lagti Hoon,
Main Kahta Hoon, Kabhi Khud Ko
Meri Aankho'n Se Tum Dekho,
Meri Deewangi Kyoon Hai Ye Khud Hi Jaan Jaaogi.....
Wo Kahti Hai, Mujhe Waaraftagi Se
Dekhte Kyoon Ho,
Ke Mai Khud Ko Bahut Hi Qeemti Mahsoos Karti Hoon,
Main Kahta Hoon, Mutaa-e-jaa'n
Bahut Anmol Hoti Hai,
Tumhein Jab Dekhta Hoon, Zindagi Mahsoos Karta Hoon.....
Wo Kahti Hai, Mujhe Alfaaz Ke
Jugnoo Nahi Milte,
Ke Tumhein Bata Sakun Mere Dil Mein Kitni Mohabbat Hai,
Main Kahta Hoon, Mohabbat To
Nigaaho'n Se Jhalakti Hai,
Tumhaari Khamoshi Mujh Se Tumhaari Baat Karti Hai.....
Wo Kahti Hai, Bataao Na
Kise Khone Se Darte Ho,
Bataao Kaun Hai Wo Jise Ye Mausam Bulaate Hain,
Main Kahta Hoon, Ye Meri Shayeri
Hai Aaina Dil Ka,
Zara Dekho, Bataao Kya Tumhein Is Mein Nazar Aaya.....
Wo Kahti Hai, Ke.... Bahut Baatein
Banaate Ho,
Magar Sach Hai, Ye Baatein Bahut Hi Shaad Rakhti Hain,
Main Kahta Hoon, Ye Sab Baatein
Ye Fasaane Ek Bahaana Hain,
Ke Kuch Pal Zindgaani Ke Tumhaare Saath Katt Jaayein.....
Phir Is Ke Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai,
Nigaahein Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rahte Hain..!!
____________________________________

وہ کہتی ہے سنو جاناں ،
محبّت موم کا گھر ہے
تپش یہ بدگمانی کی
کہیں پگھلا نہ دے اس کو
میں کہتا ہوں کے جس دل میں
ذرا بھی بدگمانی ہو
وہاں کچھ اور ہو تو ہو
محبّت ہو نہیں سکتی
وہ کہتی ہے سدا ایسے ہی
کیا تم مجھ کو چاہو گے
کہ میں اس میں کمی کوئی
گنوارہ کر نہیں سکتی
میں کہتا ہوں محبّت کیا ہے
یہ تم نے سکھایا ہے
مجھے تم سے محبّت کے سوا کچھ بھی نہیں آتا
وہ کہتی ہے جدائی سے بہت ڈرتا ہے میرا دل
کہ خود کو تم سے ہٹ کر دیکھنا
ممکن نہیں ہے اب
میں کہتا ہوں یہی خدشے
بہت مجھ کو ستاتے ہیں
مگر سچ ہے
محبّت میں جدائی ساتھ چلتی ہے
وہ کہتی ہے بتاؤ کیا
میرے بن جی سکو گے تم
میری باتیں، میری یادیں، میری آنکھیں بھلا دو گے
میں کہتا ہوں کبھی اس بات پر
سوچا نہیں میں نے
مگر اک پل کو بھی سوچوں تو یہ سانسیں رکنے لگتیں ہیں
وہ کہتی ہے تمہیں مجھ سے
محبّت اس قدر کیوں ہے
کہ میں اک عام سی لڑکی تمہیں کیوں خاص لگتی ہوں
میں کہتا ہوں کبھی خود کو میری آنکھوں سے تم دیکھو
میری دیوانگی کیوں ہے یہ خود ہی جان جاو گی
وہ کہتی ہے کہ مجھے وارفتگی سے دیکھتے کیوں ہو
کہ میں خود کو بہت ہی قیمتی محسوس کرتی ہوں
میں کہتا ہوں متاعِ جاں بہت انمول ہوتی ہے
تمہیں جب دیکھتا ہوں زندگی محسوس کرتا ہوں
وہ کہتی ہے مجھے الفاظ کے جگنو نہیں ملتے
کہ تمہیں بتا سکون میرے دل میں کتنی مہبت ہے
میں کہتا ہوں محبت تو نگاہوں سے جھلکتی ہے
تمہاری خاموشی مجھ سے تمہاری بات کرتی ہے
وه کہتی ہے بتاؤ نہ کسے کھونے سے ڈرتے ہو
بتاؤ کون ہے وہ جسے یہ موسم بلاتے ہیں
میں کہتا ہوں یہ میری شاعری ہے آئینہ دل کا
ذرا دیکھو، بتاؤ کیا تمہیں اس میں نظر آیا
وہ کہتی ہے کے ، بہت باتیں بناتے ہو
مگر سچ ہے یہ باتیں بہت ہی شاد رکھتی ہیں
میں کہتا ہوں یہ سب باتیں، یہ فسانے اک بہانہ ہیں
کہ کچھ پل زندگانی کے تمھارے ساتھ کٹ جائیں
پھر اس کے بعد خاموشی کا دلکش رقص ہوتا ہے
نگاہیں بولتی ہیں اور لب خاموش رهتے ہیں..!!
_________________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...