Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai
Mujhe Mat Is Qadar Chaaho
Ke Main Ek Aam Si Ladki Hoon
Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein,
Na Sheyr-o-shayeri Se Koi shaghaf Hai
Aur Na Mausam Mere Dil Ko Bahut Be-chain Kartey Hai,
Na Boondo'n Mein Mujhe Mauseeqiyat Mahsoos Hoti Hai,
Na Mujh Ko Chaad-Raato'n Ka Fusoo'n Paagal Banaata Hai,
Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein,
Mujhe Mat Is Qadar Chaaho
Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai
Magar Us Ki Nigaaho'n Se Ye Sachchaai Chhalakti Hai
Agarche Ek Bhi Aadat Meri Us Ki Nahi Milti,
Magar Ek Mushtarak Jazba Jo Hum Mein Saans Leta Hai,
Usey Mahsoos Hota Hai
Usey Meri, Mere Honey, Meri Chaahat Ki Aadat Hai,
Usey Mujh Se Bahut Zyaada, Bahut Zyaada Mohabbat Hai,
Mujhe Wo Aam Si Ladki Bahut Hi Khaas Lagti Hai,
Jisey Na Shayeri Se Kuch Shaghaf Hai
Aur Na Mausam Usey Be-chain Rakhtey Hain,
Usey Kaise Bataaun Main,
Ke Main Lafzo'n Mein Us Ki Har Adaa Tasweer Karta Hoon,
Main Jo Tahreer Karta Hoon
Usey Tahreer Karta Hoon,
Mujhey Us Ke Har Ek Mausam, Har Ek Aadat Ki Aadat Hai,
Mujhey Us Se Bahut Zyaada, Bahut Zyaada Mohabbat Hai,
Main Us Ko Chaahta Hoon To Meri Takmeel Hoti Hai,
Usey Na Chaah Kar Khud Ko Adhoora Kis Tarah Kar Loon,
Main Aakhir Kis Tarah Dil Ko Ghumo'n Ki Aag Se Bhar Loon,
Usey Ek Pal Jo Na Sochun To Jaisey Saans Ruk Jaaye,
Main Kaisey Khudkushi Kar Loon..!!
وہ اکثر مجھ سے کہتی ہے
مجھے مت اس قدر چاہو
کہ میں اک عام لڑکی ہوں
تمہاری عادتوں سی کوئی بھی عادت نہیں مجھ میں
نہ شعر و شاعری سے کچھ شغف ہے
اور نہ موسم مرے دل کو بہت بے چین کرتے ہیں
نہ بُوندوں میں مجھے موسیقیت محسوس ہوتی ہے
نہ مجھ کو چاند راتوں کا فسوں پاگل بناتا ہے
تمہاری عادتوں سی کوئی بھی عادت نہیں مجھ میں
مجھے مت اس قدر چاہو
وہ اکثر مجھ سے کہتی ہے
مگر اُس کی نگاہوں سے یہ سچائی چھلکتی ہے
اگرچہ ایک بھی عادت مری اُس کی نہیں ملتی
مگر اک مشترک جزبہ جو ہم میں سانس لیتا ہے
اُسے محسوس ہوتا ہے
اُسے میری، مرے ہونے، مری چاہت کی عادت ہے
اُسے مجھ سے بہت زیادہ، بہت زیادہ محبت ہے
مجھے وہ عام سی لڑکی بہت ہی خاص لگتی ہے
جسے نہ شاعری سے کچھ شغف ہے
اور نہ موسم اُسے بے چین رکھتے ہیں
اُسے کیسے بتاؤں میں...
کہ میں لفظوں میں اُس کی ہر ادا تصویر کرتا ہوں
میں جو تحریر کرتا ہوں، اُسے تحریر کرتا ہوں
مجھے اُس کے ہر اک موسم، ہر اک عادت کی عادت ہے
مجھ اُس سے بہت زیادہ، بہت زیادہ محبت ہے
میں اُس کو چاہتا ہوں تو مری تکمیل ہوتی ہے
اُسے نہ چاہ کر خود ہی ادھورا کس طرح کر لوں
میں آخر کس طرح دل کو غموں کی آگ میں بھر لوں
اُسے اک پل جو نہ سوچوں تو جیسے سانس رُک جائے
میں کیسے خودکشی کر لوں.......!!
____________________________
No comments:
Post a Comment