Kisi Bewafa Ki Khaatir
Ye junoo'n "Faraz" Kab Tak...
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai
Use Tum Bhi Bhool Jaao...
Ye Udaasiya'n Ke Mausam
Yunhi Raayegaa'n Na Jaayein...
Kisi Yaad Ko Pukaaro
Kisi Dard Ko Jagaao..!!
________________________
Kisi Bewafa Ki Khaatir
Ye junoo'n "Faraz" Kab Tak...
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai
Use Tum Bhi Bhool Jaao...
Ye Udaasiya'n Ke Mausam
Yunhi Raayegaa'n Na Jaayein...
Kisi Yaad Ko Pukaaro
Kisi Dard Ko Jagaao..!!
________________________
Kahaan Ho Tum, Chaley Aao
Mohabbat Ka Taqaaza Hai...
Ghum-e-Duniya Se Ghabra Kar
Tumhein Dil Se Pukaara Hai...
Ye Tumhaari Be-rukhi Ek Din
Humaari Jaan Le Legi...
Qasam Tum Ko Zara Socho
Ke.. Dastoor-e-Wafa Kya Hai..!!
____________________________
کہاں ہو تم چلے آو
محبت کا تقاضا پے
غم دنیا سے گھبرا کر
تمہیں دل نے پکارا ہے
یہ تمهاری بےرخی اک دن
ہماری جان لے لے گی
قسم تم کو زرا سوچو
کہ دستور وفا کیا ہے...
Jo Mujh Se Poochha Hai Aaj Tum Ne
Ke Main Tumhaara Hoon Kya, Bataaun.!
To Khud Hi Socho...Tum Ek Pal Ko
Bhala Main Kaise Tumhein Bataaun,
Hai Tum Se Mera Wahi Ta'alluq.....
Jo Apne Saaye Se Hai Shajar Ka
Wahi Jo Khursheed Se Qamar Ka
Gulo'n Se Hota Hai Jo Mahak Ka,
Kisi Ki Aankho'n Ke Mast Doro'n Se
Us Ke Mahboob Ki Jhalak Ka.....
Main Hoon Badan To Tum Us Ki Jaa'n Ho,
Bahaar Mausam Ke Tarjumaa'n Ho,
Lahoo Ki Soorat Meri Rago'n Mein
Har Ek Lamhey Rawaa'n Rawaa'n Ho,
Namaaz Hoon Main To Tum Azaa'n Ho,
Makeen Hoon Main To Tum Makaa'n Ho,
Zameen Hoon Main Tum Aasmaa'n Ho,
Wahi Hai Ta'alluq Tum Se Mera
Jo Dil Se Hota Hai Dhadkano'n Ka
Khumaar Se Hai Jo May-kasho'n Ka
Jo Shaayero'n Se Hai Mahwisho'n Ka
Jo Husn Waalon Se Diljalo'n Ka
Hai Zahd Se Bhi Jo Zaahido'n Ka
Jo Raasto'n Se Hai Manzilo'n Ka
Jo Manzilo'n Se Hai Rahbaro'n Ka
Azal Se Dharti Se Parwato'n Ka
Wahi Jo Saagar Se Saahilo'n Ka,
Jo Rooh Se Hai Kisi Badan Ka
Wahi Jo Chanda Se Hai Kiran Ka
Jo Baaghbaa'n Se Kisi Chaman Ka
Hai Guftugoo Se Kisi Dahan Ka
Jo Baarisho'n Ka Zamee'n Se Hai
Ibaadato'n Ka Jabee'n Se Hai,
Hai Tum Se Mera Yahi Ta'alluq..!!
ﺟﻮ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮨﮯ ﺁﺝ ﺗﻢ ﻧﮯ
ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﮨﻮﮞ ﮐﯿﺎ، ﺑﺘﺎﺅ
ﺗﻮ ﺧﻮﺩ ﮨﯽ ﺳﻮﭼﻮ ۔۔۔۔۔۔ ﺗﻢ ﺍﯾﮏ ﭘﻞ ﮐﻮ
ﺑﮭﻼ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺴﮯ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺑﺘﺎﺅﮞ
ﮨﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﺍ ﻭﮨﯽ ﺗﻌﻠﻖ
ﺟﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﺳﺎﺋﮯ ﺳﮯ ﮨﮯ ﺷﺠﺮ ﮐﺎ
ﻭﮨﯽ ﺟﻮ ﺧﻮﺭﺷﯿﺪ ﺳﮯ ﻗﻤﺮ ﮐﺎ
ﮔُﻠﻮﮞ ﺳﮯ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺟﻮ ﻣﮩﮏ ﮐﺎ
ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﻣﺴﺖ ﮈﻭﺭﻭﮞ ﺳﮯ
ﺍُﺱ ﮐﮯ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﮐﯽ ﺟﮭﻠﮏ ﮐﺎ
ﻣﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﺑﺪﻥ ﺗﻮ، ﺗﻢ ﺍُﺱ ﮐﯽ ﺟﺎﮞ ﮨﻮ
ﺑﮩﺎﺭ ﻣﻮﺳﻢ ﮐﮯ ﺗﺮﺟﻤﺎﮞ ﮨﻮ
ﻟﮩﻮ ﮐﯽ ﺻﻮﺭﺕ ﻣﯿﺮﯼ ﺭﮔﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﮨﺮ ﺍﯾﮏ ﻟﻤﺤﮯ ﺭﻭﺍﮞ ﺩﻭﺍﮞ ﮨﻮ
ﻧﻤﺎﺯ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ، ﺗﻮ ﺗﻢ ﺍﺫﺍﮞ ﮨﻮ
ﻣﮑﯿﻦ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ، ﺗﻮ ﺗﻢ ﻣﮑﺎﮞ ﮨﻮ
ﺯﻣﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ، ﺗﻢ ﺁﺳﻤﺎﮞ ﮨﻮ
ﻭﮨﯽ ﮨﮯ ﺗﻌﻠﻖ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﺍ
ﺟﻮ ﺩﻝ ﺳﮯ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺩﮬﮍﮐﻨﻮﮞ ﮐﺎ
ﺧﻤﺎﺭ ﺳﮯ ﮨﮯ ﺟﻮ ﻣﮯ ﮐﺸﻮﮞ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺷﺎﻋﺮﻭﮞ ﺳﮯ ﮨﮯ ﻣﮧ ﻭﺷﻮﮞ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺣﺴﻦ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﺳﮯ ﺩﻝ ﺟﻠﻮﮞ ﮐﺎ
ﮨﮯ ﺯﮨﺪ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺟﻮ ﺯﺍﮨﺪﻭﮞ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺭﺍﺳﺘﻮﮞ ﺳﮯ ﮨﮯ ﻣﻨﺰﻟﻮﮞ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﻣﻨﺰﻟﻮﮞ ﺳﮯ ﮨﮯ ﺭﮨﺒﺮﻭﮞ ﮐﺎ
ﺍﺯﻝ ﺳﮯ ﺩﮬﺮﺗﯽ ﺳﮯ ﭘﺮﺑﺘﻮﮞ ﮐﺎ
ﻭﮨﯽ ﺟﻮ ﺳﺎﮔﺮ ﺳﮯ ﺳﺎﺣﻠﻮﮞ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺭﻭﺡ ﺳﮯ ﮨﮯ ﮐﺴﯽ ﺑﺪﻥ ﮐﺎ
ﻭﮨﯽ ﺟﻮ ﭼﻨﺪﺍ ﺳﮯ ﮨﮯ ﮐﺮﻥ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺑﺎﻏﺒﺎﮞ ﺳﮯ ﮐﺴﯽ ﭼﻤﻦ ﮐﺎ
ﮨﮯ ﮔﻔﺘﮕﻮ ﺳﮯ ﮐﺴﯽ ﺩﮨﻦ ﮐﺎ
ﺟﻮ ﺑﺎﺭﺷﻮﮞ ﮐﺎ ﺯﻣﯿﻦ ﺳﮯ ﮨﮯ
ﻋﺒﺎﺩﺗﻮﮞ ﮐﺎ ﺟﺒﯿﻦ ﺳﮯ ﮨﮯ.!!
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Ke
Chaahat Ke Kashkaul Utha Ke
Dar Dar Phirna Theek Nahi
Suno Mohabbat Bheekh Nahi..
رنج و الم کے ڈھول بجا کے
چاھت کے کشکول اٹھا کے
در در پھرنا ٹھیک نہیں
سنو محبت بھیک نہیں..
Mainey Is Taur Se Chaaha Hai Tujhey Aksar Jaanaa,
Jaisey Mahtaab Ko Be-ant Samandar Chaahey,
Jaisey Sooraj Ki Kiran Seep Ke Dil Mein Utrey,
Jaisey Khushboo Ko Hawa Rang Se Hatt Kar Chaahey,
Jaisey Patthar Ke Kalejey Se Kiran Phoot'ti Hai,
Jaisey Gunchey Khiley Mausam Se Hina Maangtey Hain,
Jaisey Khwaabo'n Mein Khyaalo'n Ki Kamar Toot’ti Hai,
Jaisey Baarish Ki Dua Aabla-paa Maangtey Hain,
Mera Har Khwaab Mere Sach Ki Gawaahi Dega,
Was'at-e-deed Ne Tujh Se Teri Khwaahish Ki Hai,
Meri Socho'n Mein Kabhi Dekh Saraapa Ban Kar,
Mainey Duniya Se Alag Teri Parastish Ki Hai,
Kashish-e-deed Ka Mausam Jo Kabhi Dhundhla Hua,
Nauch Daali Hain Zamaane Ki Naqaabein Mainey,
Teri Palko'n Pe Utarti Hui Subaho'n Ke Liye,
Tod Daali Hain Sitaaro'n Ki Tanaabein Mainey,
Mainey Chaaha Ke Tere Husn Ki Gulnaar Fizaa,
Meri Ghazlo'n Ki Qataaro'n Se Dahakti Jaaye,
Mainey Chaaha Ke Mere Fun Ke Gulistaa'n Ki Hawa,
Teri Aankho'n Ke Gulaabo'n Se Mahakti Jaaye,
Tay To Ye Ke Sajaata Rahey Lafzo'n Ke Kanwal,
Mere Khamosh Khyaalo'n Mein Takallum Tera,
Raqs Karta Rahey Badhta Rahey Khushboo Ka Khumaar,
Mere Khwaahish Ke Jazeero'n Mein Tabassam Tera,
Tu Magar Ajnabi Maahol Ki Purwarda Kiran,
Meri Bujhti Huyi Raato'n Ko Sahar Kar Na Saka,
Teri Saanso'n Mein Masihaai Thi Lekin Tu Bhi,
Chaara-e-zakhm-e-ghum-e-deeda-e-tar Kar Na Saka,
Tujh Ko Ahsaas Hi Kab Hai Ke Kisi Dard Ka Daagh,
Aankh Se Dil Mein Utar Jaaye To Kya Hota Hai,
Tu Ke Seemaab Tabiyat Hai Tujhe Kya m
Ma'aloom,
Mausam-e-hijr Thehar Jaaye To Kya Hota Hai,
Tu Ne Us Mod Pe Toda Hai Ta'alluq Ke Jahaa'n,
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Jaanaa,
Ab Ye Aalam Hai Ke Aankhein Jo Khulengi Apni,
Yaad Aayega Teri Deed Ka Manzar Jaanaa,
Mujh Se Maangega Tere Ahd-o-Mohabbat Ka Hisaab,
Tere Hijraa'n Ka Dahakta Hua Mahshar Jaanaa,
Yoon Mere Dil Ke Baraabar Tera Ghum Aaya Hai,
Jaisey Sheeshe Ke Muqaabil Koi Patthar Jaanaa..!!
___________________________________
میں نے اس طور سے چاہا تجھے اکثر جاناں
جیسے مہتاب کو بے انت سمندر چاہے
جیسے سورج کی کرن سیپ کے دل میں اُترے
جیسے خوشبو کو ہوا رنگ سے ہٹ کر چاہے
جیسے پتھر کے کلیجے سے کرن پھوٹتی ہے
جیسے غنچے کھِلے موسم سے حنا مانگتے ہیں
جیسے خوابوں میں خیالوں کی قمر ٹوٹتی ہے
جیسے بارش کی دعا آبلا پا مانگتے ہیں
میرا ہو خواب میرے سچ کی گواہی دے گا
وسعتِ دید نے تجھ سے تیری خواہش کی ہے
میری سوچوں میں کبھی دیکھ سراپا بن کر
میں نے دنیا سے الگ تیری پرستش کی ہے
کششِ دید کا موسم جو کبھی دھندلا ہُوا
نوچ ڈالی ہیں زمانے کی نقابیں میں نے
تیری پلکوں پہ اُترتی ہوئی صبحوں کیلیۓ
توڑ ڈالی ہیں ستاروں کی تنابیں میں نے
میں نے چاہا کے تیرے حسن کی گلنار فزا
میری غزلوں کی قطاروں سے دیہکتی جاۓ
میں نے چاہا کے میرے فن کے گلستاں کی ہوا
تیری آنکھوں کے غلابوں سے مہکتی جاۓ
تہہ تو یہ تھا کہ سجاتا رہے لفظوں کے کنول
میرے خاموش خیالوں میں تکلُّم تیرا
رقص کرتا رہے بڑھتا رہے خوشبو کا خمار
میری خواہش کے جزیروں میں تبسُّم تیرا
تُو مگر اجنبی ماحول کی پروردہ کرن
میری بجھتی ہوئی راتوں کو سحر کر نہ سکا
تیری سانسوں میں مسیحائی تھی لیکن تُو بھی
چارہءِ زخمِ غمِ دیداۓ تر کر نہ سکا
تجھ کو احساس ہی کب ہے کہ کسی درد کا داغ
آنکھ سے دل میں اتر جاۓ تو کیا ہوتا ہے
تُو کے سیماب تبیعت ہے تجھے کیا معلوم
موسمِ حجر ٹھہر جاۓ تو کیا ہوتا ہے
تُو نے اس موڑ پہ توڑا ہے تعلق کہ جہاں
دیکھ سکتا نہیں کوئی بھی پلٹ کر جاناں
اب یہ عالم ہے کہ آنکھیں جو کھلیں گی اپنی
یاد آۓ گا تیری دید کا منظر جاناں
مجھ سے مانگے گا تیرے عہد و محبت کا حساب
تیرے حجراں کا دیہکتا ہُوا محشر جاناں
یوں میرے دل کے برابر تیرا غم آیا ہے
جیسے شیشے کے مقابل کوئی پتھر جاناں..
Ek To Husn Balaa Ka Us Pe Banaawat Aafat,
Ghar Bigadenge Hazaaron Ke, Sanwarne Waale...
Hashr Mein Lutf Ho Jo In Se Hon Do Do Baatein,
Wo Kahein, Kaun Ho Tum.?..Hum Kahein, Marne Waale,
Qatl Hongey Tere Haathon, Se Khushi Is Ki Hai,
Aaj Itraaye Hue Phirte Hain, Marne Waale..!!
ایک تو حسن بلا کا اس پہ بناوٹ آفت
گھر بگاڑیں گے ہزاروں کے سنورنے والے..
حشر میں لطف ہو جب ان سے ہوں دو دو باتیں
وہ کہیں، کون ہو تم؟ ہم کہیں، مرنے والے..
قتل ہوں گے ترے ہاتھوں سے خوشی اس کی ہے
آج اترائے ہوئے پھرتے ہیں مرنے والے...
______________________________
Churaao Nazrein,
Chhudaao Daaman,
Badal Ke Rasta
Badhaao Uljhan,
Tumhein Duaao'n Se Phir Bhi Mainey
Jo Pa Liya, To Kya Karoge.?..
ﭼُﺮﺍﺅ ﻧﻈﺮﯾﮟ،
ﭼُﮭﮍﺍﺅ ﺩﺍﻣﻦ
ﺑﺪﻝ ﮐﮯ ﺭﺳﺘﮧ ،
ﺑﮍﮬﺎﺅ ﺍُﻟﺠﮭﻦ
ﺗﻤﮭﯿﮟ ﺩﻋﺎﺅﮞ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ،
ﺟﻮ ﭘﺎﻟﯿﺎ،ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﻭ ﮔﮯ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
_____________________________
Ye Jo Mujh Par Nikhaar Hai Saai'n,
Aap Hi Ki Bahaar Hai Saai'n,
Aap Chaahein To Jaan Bhi Le Lein,
Aap Ko Ikhtiyaar Hai Saai'n
Tum Milaate Ho Bichhade Logo'n Ko
Ek Mera Bhi Yaar Hai Saai'n,
Kisi Khoonte Se Baandh Dijiye Ise
Dil Shatar Hai Muhaar Hai Saai'n,
Ishq Mein Laghzisho'n Pe Kijiye Muaaf
Saai'n.! Ye Pahli Baar Hai Saai'n,
Kul Mila Kar Hai Jo Bhi Kuch Mera
Aap Se Musta'aar Hai Saai'n,
Ek Kashti Bana Hi Dijiye Mujhe
Koi Dariya Ke Paar Hai Saai'n,
Roz Aansu Kamaa Ke Laata Hoon
Ghum Mera Rozgaar Hai Saai'n,
Was'at-e-rizq Ki Duaa Dijiye
Dard Ka Kaarobaar Hai Saai'n,
Khaar-Zaaro'n Se Ho Ke Aaya Hoon
Pairahan Taar Taar Hai Saai'n,
Kabhi Aa Kar To Dekhiye Ke Ye Dil
Kaisa Ujda Dayaar Hai Saai'n..!!
یہ جو مُجھ پر نکھار ہے سائیں
آپ ہی کی بہار ہے سائیں..
آپ چاہیں تو جان بھی لے لیں
آپ کو اختیار ہے سائیں..
تُم مِلاتے ہو بچھڑے لوگوں کو
ایک میرا بھی یار ہے سائیں..
کسی کھونٹے سے باندھ دیجے اِسے
دل شتر بے مُہار ہے سائیں..
عشق میں لغزشوں پہ کیجے مُعَاف
سائیں ! یہ پہلی بار ہے سائیں
کُل مِلا کر ہے جو بھی کچھ میرا
آپ سے مُستَعار ہے سائیں..
ایک کشتی بنا ہی دیجے مُجھے
کوئی دریا کے پار ہے سائیں
روز آنسُو کما کے لاتا ہُوں
غم میرا روزگار ہے سائیں..
وُسعتِ رزق کی دُعا دیجے
درد کا کاروبار ہے سائیں
خار زاروں سے ہو کے آیا ہُوں
پیرھن تار تار ہے سائیں..
کبھی آکر تو دیکھیے کہ یہ دل
کیسا اُجڑا دیار ہے سائیں..!!
Safar Mein Shaam Hone Tak
To Mere Saath Rah Jaao,
Naya Manzar Ubharne Tak
To Mere Saath Rah Jaao.....
Lahoo Roti Hui Aankhen
Tere Qadmo'n Se Lipti Hain
Mere Aansu Theharne Tak..
To Mere Saath Rah Jaao,
Tumhein Ma'aloom Hai Mujh Ko
Khizaa'n Se Khauf Aata Hai
So Ye Mausam Guzarne Tak
To Mere Saath Rah Jaao,
Phir Is Ke Baad Dekho
Jahaa'n Chaahe Chale Jaana
Meri Saansein Bikharne Tak
To Mere Saath Rah Jaao..!!
_____________________________
Mohabbat Ek Jazba Hai,
Jo Bas Mahsoos Hota Hai,
Bhala Batlaaye Us Ko Kaun
Aur Kab Ye Bayaa'n Hogi,
Magar Hum Tum Jahaan Honge
Mohabbat Darmiyaa'n Hogi..!!
محبت ایک جزبہ ہے
جو بس محسوس ہوتا ہے
بهلا بتلائے اس کو کون
اور کب یہ بیاں ہو گی
مگر ہم تم جہاں ہوں گے
محبت درمیاں ہو گی..
Tumhaare Paas Jaane Ka
Iraada Jab Bhi Karta Hoon,
Mujhe.....
Baarish, Hawa, Ye Jharney,
Aabshaarein Bhi
Hamesha Rok Deti Hain..!..
Na Jaane In Ko Kya Darr Hai.?..
Inhein Shayad Gumaa'n Hai Ye
Tumhaare Paas Aate Hi
Main Sab Kuch Bhool Jaaunga...
Faqat Jo Yaad Rakhunga
Wo Chehra Tumhaara Hai
Wo Baatein Tumhaari Hain
Meri In Nigaaho'n Mein
Wo Aankhein Tumhaari Hain...
Na Jaane In Ko Darr Hai Kyoon.?..
Ke Main Jab Bhi...Tum Tak Aaunga
To Sab Kuch Bhool Jaaunga..!!
______________________________
Mujhe Mahsoos Hota Hai
Wo Bilkul Mere Jaisa Hai...
Ke Jaise Aks Paani Mein
Ya Saaya Ru-ba-ru Mere,
Wahi Lahja Wahi Baatein,
Wahi Aankho'n Se Hans Dena,
Kabhi Jo Roothna To
Be-rukhi Ki Hadd Hi Kar Dena...
Kabhi Aankho'n Ke Raste Se
Kahi'n Dil Mein Utar Jaana,
Kabhi Be-chain Rakhna Khud Ko
Mujh Ko Bhi Saza Dena...
Kabhi Ek Pal Mein Hans Dena
Meri Duniya Saja Dena
Kabhi To Barf Sa Lahja
Nigaah Bhi Sard Kar Lena...
Kabhi Titli Ke Saare Rang
Mere Daaman Mein Bhar Dena
Mujhe Aksar Ye Lagta Hai
Wo Bilkul Mere Jaisa Hai..!!
__________________________
مجهے محسوس ہوتا ہے
وہ بلکل میرے جیسا ہے
کہ جیسے عکس پانی میں
یا سایہ روبرو میرے
وہی لہجہ وہی باتیں
وہی آنکهوں سے ہنس دینا
کبهی جو روٹهنا تو
بے رخی کی حد ہی کر دینا
کبهی آنکهوں کے رستے سے
کہیں دل میں اتر جانا
کبهی بے چین رکهنا خود کو
مجهکو بهی سزا دینا
کبهی اک پل میں ہنس دینا
مری دنیا سجا دینا
کبهی تو برف سا لہجہ
نگاہ بهی سرد کر لینا
کبهی تتلی کے سارے رنگ
مرے دامن میں بهر دینا
مجهے اکثر یہ لگتا ہے
وہ بلکل میرے جیسا ہے..!!
Suno..!...
Tum Se Ye Kahna Hai...
Ke Tum Meri Mohabbat Se
Kabhi Mat Bad-Gumaa'n Hona.....
Ke Meri Zindgaani Ke
Sabhi Raste...Jo Sach Poochho
Tumhari Simt Aate Hain,
Main Tum Se Door Rah Paau'n
Ye Ab Mumkin Nahi Jaanaa...
Suno..!....
Ahd-e-Mohabbat Ki
Mujhe Tajdeed Karni Hai...
Puraani Baat Hai Lekin
Mujhe Phir Bhi Ye Kahni Hai,
Mujhe Tum Se Mohabbat Thi
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Har Ek Mausam Tumhaara Hai,
Tumhaara Saath Pyaara Hai..!!
____________________________
ﺳﻨﻮ !!۔۔۔۔۔۔۔۔،
ﺗﻢ ﺳﮯ ﯾﮧ ﮐﮩﻨﺎ ﮬﮯ
ﮐﮧ ﺗﻢ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺖ ﺑﺪﮔﻤﺎﮞ ﮬﻮﻧﺎ
ﮐﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﺯﻧﺪﮔﺎﻧﯽ ﮐﮯ
ﺳﺒﮭﯽ ﺭﺳﺘﮯ...ﺟﻮﺳﭻ ﭘﻮﭼﮭﻮ
ﺗﻤﮭﺎﺭﯼ ﺳﻤﺖ ﺁﺗﮯ ﮬﯿﮟ
ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺩﻭﺭ ﺭﻩ ﭘﺎﺅﮞ
ﯾﮧ ﺍﺏ ﻣﻤﮑﻦ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﻧﺎﮞ
ﺳﻨﻮ !!۔۔۔۔۔،
ﻋﻬﺪ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ
ﻣﺠﮭﮯ ﺗﺠﺪﯾﺪ ﮐﺮﻧﯽ ﮬﮯ
ﭘﺮﺍﻧﯽ ﺑﺎﺕ ﮬﮯ ﻟﯿﮑﻦ
ﻣﺠﮭﮯ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﮐﮩﻨﯽ ﮬﮯ
ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﺗﮭﯽ،
ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮬﮯ
ﮬﺮ ﺍﮎ ﻣﻮﺳﻢ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮬﮯ
ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﺳﺎﺗﮫ ﭘﯿﺎﺭﺍ ﮬﮯ!!۔۔۔،
Tum Der Se Aaye Mujhe Samjhane
Azeezaa'n...
Us Shakhs Ko To Apna Khuda Kar
Bhi Chuka Main...
Ye Ishq Nahi Zaayeqa-tul-Maut
Hai Saahab...
Aur Main To Ise Chakh Bhi Chuka, Mar
Bhi Chuka Main..!!
_________________________
Koi Atka Hua Hai Pal Shayad
Waqt Mai Pad Gaya Bal Shayad,
Dil Agar Hai To Dard Bhi Hoga
Is Ka Koi Nahi Hai Hal Shayad,
Chaand Doobey To Chaand Hi Nikley
Aap Ke Paas Hoga Hal Shayad,
Aa Rahi Hai Jo Chaap Qadmo'n Ki
Khil Rahey Hain Kahi'n Kanwal Shayad..!!
کوئ اٹکا ہوا ہے پل شاید
وقت میں پڑ گیا بل شاید
دل اگر ہے تو درد بھی ہو گا
اس کا کوئ نہیں ہے حل شاید
چاند ڈوبے تو چاند ہی نکلے
آپ کے پاس ہو گا حل شاید
آ رہی ہے جو چاپ قدموں کی
کھِل رہے ہیں کہیں کنول شاید..
_______________________
Bahut Chhoti Si Hasrat Hai
Bahut Paakeeza Chaahat Hai
Gawaah Kar Ke Sitaaro'n Ko
Gagan Ke Sab Kinaaro'n Ko
Faqat Itna Sa Kahna Hai
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai..!!
بہت چھوٹی سی حسرت ھے،
بہت پاکیزہ چاھت ھے،
گواہ کرکے ستاروں کو،
گگن کے سب کناروں کو،
فقط اتنا سا کہنا ھے،
مجھے تم سے محبت ھے.....!
Sitaarey Jo Damaktey Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairaa'n Mein
Mulaqaatein Jo Hoti Hain
Jamaal-e-Abr-o-Baaraa'n Mein
Ye Na-aabaad Waqto'n Mein
Dil-e-nashaad Mein Hongi
Mohabbat Ab Nahi Hogi
Ye Kuch Din Baad Mein Hogi
Guzar Jaayenge Jab Ye Din
Ye Un Ki Yaad Mein Hogi..!!
-Muneer Niyaazi-
ستا رے جو دمکتے ہیں
کِسی کی چشمِ حیراں میں
ملا قاتیں جو ہوتی ہیں
جمال ابر و باراں میں
یہ نا آباد وقتوں میں
دل نا شاد میں ہوں گی
محبت اب نہیں ہو گی
یہ کچھ دن بعد میں ہو گی
گزر جائیں گے جب یہ دن
یہ اُن کی یاد میں ہو گی
"منیر نیازی"
Mujhe Achcha Lagta Hai.!..
Tumhaare Sang Sang Chalna...
Wafa Ki Aag Mein Jalna...
Tumhein Naraaz Kar Dena...
Kabhi Naraaz Ho Jaana...
Tumhaari Be-rukhi Par Bhi
Tumhaari Aarzoo Karna...
Khud Apne Dil Ki Dhadkan Se
Tumhaari Guftugoo Karna...
Mujhe Achcha Lagta Hai.!..
Tumhi'n Ko Dekhte Rahna,
Tumhi'n Ko Sochte Rahna,
Bahut Gahre Khyaalo'n Mein,
Sawaalo'n Mein Jawaabo'n Mein,
Mohabbat Ke Hawaalo'n Mein
Tumhaare Naam Ka Aana
Mujhe Achcha Lagta Hai..!!
___________________________
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ "
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺳﻨﮓ ﺳﻨﮓ ﭼﻠﻨﺎ ..
ﻭﻓﺎ ﮐﯽ ﺁﮒ ﻣﯿﮟ ﺟﻠﻨﺎ .......
ﺗﻤﮩﯿﮟ ﻧﺎﺭﺍﺽ ﮐﺮ ﺩﯾﻨﺎ .....
ﮐﺒﮭﯽ ﻧﺎﺭﺍﺽ ﮬﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺑﮯﺭﺧﯽ ﭘﺮ ﺑﮭﯽ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺁﺭﺯﻭ ﮐﺮﻧﺎ
ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺩﮬﮍﮐﻦ ﺳﮯ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﮔﻔﺘﮕﻮ ﮐﺮﻧﺎ"
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ "
ﺗﻤﮩﯽ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﺭﮬﻨﺎ
ﺗﻤﮩﯽ ﮐﻮ ﺳﻮﭼﺘﮯ ﺭﮬﻨﺎ
ﺑﮩﺖ ﮔﮩﺮﮮ ﺧﯿﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺳﻮﺍﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺟﻮﺍﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﮯ ﺣﻮﺍﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻧﺎﻡ ﮐﺎ ﺁﻧﺎ"
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ !!!!
_______________________
Baarish Ki Barasti Boondo'n Ne
Jab Dastak Di Darwaazey Par
Mahsoos Hua Tum Aaye Ho
Andaaz Tumhaare Jaisa Tha.....
Hawa Ke Halke Jhounke Ki
Jab Aahat Paayi Khidki Par
Mahsoos Hua Tum Guzre Ho
Ahsaas Tumhaare Jaisa Tha.....
Maine Girti Boondo'n Ko
Rokna Chaaha Haatho'n Par
Ek Sard Sa Phir Ahsaas Hua
Wo Lams Tumhaare Jaisa Tha.....
Tanha Main Chala Phir Baarish Mein
Tab Ek Jhounke Ne Saath Diya
Main Samjha Tum Ho Saath Mere
Wo Saath Tumhaare Jaisa Tha..!!
ﺑﺎﺭﺵ ﮐﯽ ﺑﺮﺳﺘﯽ ﺑﻮﻧﺪﻭﮞ ﻧﮯ
ﺟﺐ ﺩﺳﺘﮏ ﺩﯼ ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﭘﺮ
ﻣﺤﺴﻮﺱ ﮨﻮﺍ ﺗﻢ ﺁﺋﮯ ﮨﻮ
ﺍﻧﺪﺍﺯ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ...
ﮨﻮﺍ ﮐﮯ ﮨﻠﮑﮯ ﺟﮭﻮﻧﮑﮯ ﮐﯽ
ﺟﺐ ﺁﮨﭧ ﭘﺎﺋﯽ ﮐﮭﮍﮐﯽ ﭘﺮ
ﻣﺤﺴﻮﺱ ﮨﻮﺍ ﺗﻢ ﮔﺰﺭﮮ ﮨﻮ
ﺍﺣﺴﺎﺱ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ...
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮔﺮﺗﯽ ﺑﻮﻧﺪﻭﮞ ﮐﻮ
ﺭﻭﮐﻨﺎ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﭘﺮ
ﺍﯾﮏ ﺳﺮﺩ ﺳﺎ ﭘﮭﺮ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﻮﺍ
ﻭﮦ ﻟﻤﺲ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ...
ﺗﻨﮩﺎ ﻣﯿﮟ ﭼﻼ ﭘﮭﺮ ﺑﺎﺭﺵ ﻣﯿﮟ
ﺗﺐ ﺍﯾﮏ ﺟﮭﻮﻧﮑﮯ ﻧﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺩﯾﺎ
ﻣﯿﮟ ﺳﻤﺠﮭﺎ ﺗﻢ ﮨﻮ ﺳﺎﺗﮫ ﻣﯿﺮﮮ
ﻭﮦ ﺳﺎﺗﮫ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ...
____________________
Chalo Hum Maan Jaatey Hain
Tera Jaana Zaroori Hai.....
To Kya Ye Bhi Zaroori Hai.?..
Ke Rishtey Tod Ke Jaao,
Chalo Ye Farz Bhi Kar Lein.....
Humein Tum Chhod Jaaogey,
To Kya Aisa Bhi Mumkin Hai.?..
Humein Tum Bhool Bhi Jaao,
Ta'alluq Tod Deney Se...
Kisi Ko Chhod Deney Se...
Rafaaqat Darr Nahi Jaati,
Mohabbat Mar Nahi Jaati..!!
ﭼﻠﻮ ﮨﻢ ﻣﺎﻥ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺗﺮﺍ ﺟﺎﻧﺎ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮬﮯ
ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮬﮯ
ﮐﮧ ﺭﺷﺘﮯ ﺗﻮﮌ ﮐﮯ ﺟﺎﺅ
ﭼﻠﻮ ﯾﮧ ﻓﺮﺽ ﺑﮭﯽ ﮐﺮ ﻟﯿﮟ
ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻢ ﭼﮭﻮﮌ ﺟﺎﺅ ﮔﮯ
ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﺍﯾﺴﺎ ﺑﮭﯽ ﻣﻤﮑﻦ ﮬﮯ
ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻢ ﺑﮭﻮﻝ ﺑﮭﯽ ﺟﺎﺅ
ﺗﻌﻠﻖ ﺗﻮﮌ ﺩﯾﻨﮯ ﺳﮯ ،،،
ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﻨﮯ ﺳﮯ
ﺭﻓﺎﻗﺖ ﮈﺭ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﯽ
ﻣﺤﺒﺖ ﻣﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﯽ..
Udaas Lamho'n...
Kabhi Bataao,
Ke Mere Haatho'n Ki
Ghum Mein Doobi Hui Lakeero'n Mein
Kya Khushi Ki Koi Ghadi Hai,
Hai Ret Aankho'n Mein, Khaar Dil Mein
Thakan Kalejey Se Aa Lagi Hai,
Udaas Lamho'n...
Mein Thak Gaya Hoon,
Khushi Ka Thoda Sa Daan De Do,
Mujhe Mohabbat Ka Maan De Do..!!
ﺍﺩﺍﺱ لمحو
ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺘﺎﺅ
ﮐﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﮐﯽ
ﻏﻢ ﻣﯿﮟ ﮈﻭﺑﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﻟﮑﯿﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ
ﮐﯿﺎ ﺧﻮﺷﯽ ﮐﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﮔﮭﮍﯼ ﮨﮯ
ﮨﮯ ﺭﯾﺖ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ, ﺧﺎﺭ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ
ﺗﮭﮑﻦ ﮐﻠﯿﺠﮯ ﺳﮯ ﺁ ﻟﮕﯽ ﮨﮯ
ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻤﺤﻮ
ﻣﯿﮟ ﺗﮭﮏ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ
ﺧﻮﺷﯽ ﮐﺎ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﺳﺎ ﺩﺍﻥ ﺩﮮ ﺩﻭ
ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﻣﺎﻥ ﺩﮮ ﺩﻭ..!!
________________________
Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai
Mujhe Mat Is Qadar Chaaho
Ke Main Ek Aam Si Ladki Hoon
Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein,
Na Sheyr-o-shayeri Se Koi shaghaf Hai
Aur Na Mausam Mere Dil Ko Bahut Be-chain Kartey Hai,
Na Boondo'n Mein Mujhe Mauseeqiyat Mahsoos Hoti Hai,
Na Mujh Ko Chaad-Raato'n Ka Fusoo'n Paagal Banaata Hai,
Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein,
Mujhe Mat Is Qadar Chaaho
Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai
Magar Us Ki Nigaaho'n Se Ye Sachchaai Chhalakti Hai
Agarche Ek Bhi Aadat Meri Us Ki Nahi Milti,
Magar Ek Mushtarak Jazba Jo Hum Mein Saans Leta Hai,
Usey Mahsoos Hota Hai
Usey Meri, Mere Honey, Meri Chaahat Ki Aadat Hai,
Usey Mujh Se Bahut Zyaada, Bahut Zyaada Mohabbat Hai,
Mujhe Wo Aam Si Ladki Bahut Hi Khaas Lagti Hai,
Jisey Na Shayeri Se Kuch Shaghaf Hai
Aur Na Mausam Usey Be-chain Rakhtey Hain,
Usey Kaise Bataaun Main,
Ke Main Lafzo'n Mein Us Ki Har Adaa Tasweer Karta Hoon,
Main Jo Tahreer Karta Hoon
Usey Tahreer Karta Hoon,
Mujhey Us Ke Har Ek Mausam, Har Ek Aadat Ki Aadat Hai,
Mujhey Us Se Bahut Zyaada, Bahut Zyaada Mohabbat Hai,
Main Us Ko Chaahta Hoon To Meri Takmeel Hoti Hai,
Usey Na Chaah Kar Khud Ko Adhoora Kis Tarah Kar Loon,
Main Aakhir Kis Tarah Dil Ko Ghumo'n Ki Aag Se Bhar Loon,
Usey Ek Pal Jo Na Sochun To Jaisey Saans Ruk Jaaye,
Main Kaisey Khudkushi Kar Loon..!!
وہ اکثر مجھ سے کہتی ہے
مجھے مت اس قدر چاہو
کہ میں اک عام لڑکی ہوں
تمہاری عادتوں سی کوئی بھی عادت نہیں مجھ میں
نہ شعر و شاعری سے کچھ شغف ہے
اور نہ موسم مرے دل کو بہت بے چین کرتے ہیں
نہ بُوندوں میں مجھے موسیقیت محسوس ہوتی ہے
نہ مجھ کو چاند راتوں کا فسوں پاگل بناتا ہے
تمہاری عادتوں سی کوئی بھی عادت نہیں مجھ میں
مجھے مت اس قدر چاہو
وہ اکثر مجھ سے کہتی ہے
مگر اُس کی نگاہوں سے یہ سچائی چھلکتی ہے
اگرچہ ایک بھی عادت مری اُس کی نہیں ملتی
مگر اک مشترک جزبہ جو ہم میں سانس لیتا ہے
اُسے محسوس ہوتا ہے
اُسے میری، مرے ہونے، مری چاہت کی عادت ہے
اُسے مجھ سے بہت زیادہ، بہت زیادہ محبت ہے
مجھے وہ عام سی لڑکی بہت ہی خاص لگتی ہے
جسے نہ شاعری سے کچھ شغف ہے
اور نہ موسم اُسے بے چین رکھتے ہیں
اُسے کیسے بتاؤں میں...
کہ میں لفظوں میں اُس کی ہر ادا تصویر کرتا ہوں
میں جو تحریر کرتا ہوں، اُسے تحریر کرتا ہوں
مجھے اُس کے ہر اک موسم، ہر اک عادت کی عادت ہے
مجھ اُس سے بہت زیادہ، بہت زیادہ محبت ہے
میں اُس کو چاہتا ہوں تو مری تکمیل ہوتی ہے
اُسے نہ چاہ کر خود ہی ادھورا کس طرح کر لوں
میں آخر کس طرح دل کو غموں کی آگ میں بھر لوں
اُسے اک پل جو نہ سوچوں تو جیسے سانس رُک جائے
میں کیسے خودکشی کر لوں.......!!
____________________________
Meri Rooh Ka Teri Zaat Tak.....
Ye Mera Safar...Nahi Mukhtasir...
Mere Ajnabi,
Mere Aashna,
Mere Be-khabar,
Yahaan Har Qadam Pe Hain Wahshatein,
Yahaan Saans Saans Mein Khaar Hain...
Teri Sard-mehri O Be-rukhi Ke
Hazaaro'n Teer Zahar Bujhey...
Jo Jigar Se Rooh Ke Paar Hain.!..
Mera Bas Nahi Ke Palat Sakoo'n
Kisi Mod Par...
Kuch Pal Ruk Ke Hi Soch Loo'n,
Tujhey Jazb-e-dil Se Pukaar Loo'n
Tujhey Door Jaaney Se Rok Loo'n...
Tujhey Apne Dil Ke Tamaam Rang
Haseen Jazbey, Khuloos-e-pal
Jo Amaanatan Mere Paas Hain
Sab Ek Baar Hi Saunp Doo'n.....
Par Kya Karoo'n.?.....
Teri Zaat Se Meri Zaat Tak...
Ye Mera Safar...Nahi Mukhtasir..!!
ﻣﯿﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﮐﺎ ﺗﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺗﮏ۔۔۔۔
ﯾﮧ ﻣﺮﺍ ﺳﻔﺮ۔۔۔۔ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺨﺘﺼﺮ۔۔۔۔
ﻣﺮﮮ ﺍﺟﻨﺒﯽ،
ﻣﺮﮮ آﺷﻨﺎ،
ﻣﺮﮮ بیخبر۔۔۔
ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﻗﺪﻡ ﭘﮧ ﮬﯿﮟ ﻭﺣﺸﺘﯿﮟ...
ﯾﮩﺎﮞ ﺳﺎﻧﺲ ﺳﺎﻧﺲ ﻣﯿﮟ ﺧﺎﺭ ﮬﯿﮟ۔۔۔
ﺗﯿﺮﯼ ﺳﺮﺩ ﻣﮩﺮﯼ ﻭ ﺑﮯ ﺭﺧﯽ ﮐﮯ۔۔۔
ﮬﺰﺍﺭﻭﮞ ﺗﯿﺮ۔۔۔۔۔ ﺯﮨﺮ ﺑﺠﮭﮯ۔۔۔۔
ﺟﻮ ﺟﮕﺮ ﺳﮯ ﺭﻭﺡ ﮐﮯ ﭘﺎﺭ ﮬﯿﮟ۔۔۔
ﻣﺮﺍ ﺑﺲ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮯ ﭘﻠﭧ ﺳﮑﻮﮞ۔۔۔۔۔
ﮐﺴﯽ ﻣﻮﮌ ﭘﺮ۔۔۔۔ ﮐﭽﮫ ﭘﻞ ﮐﻮ ﺭﮎ ﮐﮯ ﮬﯽ ﺳﻮﭺ ﻟﻮﮞ _
ﺗﺠﮭﮯ ﺟﺰﺏ ﺩﻝ ﺳﮯ ﭘﮑﺎﺭ ﻟﻮﮞ _
ﺗﺠﮭﮯ ﺩﻭﺭ ﺟﺎﻧﮯ ﺳﮯ ﺭﻭﮎ ﻟﻮﮞ۔۔۔۔
ﺗﺠﮭﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻝ ﮐﮯ ﺗﻤﺎﻡ ﺭﻧﮓ۔۔
ﺣﺴﯿﻦ ﺟﺬﺑﮯ۔۔۔۔ﺧﻠﻮﺹ ﭘﻞ۔۔۔
ﺟﻮ ﺍﻣﺎﻧﺘﺎً ﻣﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﮬﯿﮟ۔۔۔۔
ﺳﺐ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺭ ﮬﯽ ﺳﻮﻧﭗ ﺩﻭﮞ۔۔
ﭘﺮ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﻭﮞ۔۔؟؟
ﺗﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺳﮯ ﻣﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺗﮏ۔۔۔۔
ﯾﮧ ﻣﺮﺍ ﺳﻔﺮ۔۔۔۔ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺨﺘﺼﺮ۔۔۔۔۔۔
_____________________________
Oonchey Parwat Neeley Saagar
Paagal Baarish, Tum Aur Main...
Kaaley Baadal Rimjhim Baarish
Neela Aanchal, Tum Aur Main...
Mehndi, Khushboo, Kaajal, Aanchal
Band Hatheli, Tum Aur Main...
Door Kahi'n Baarish Mein Bheegi
Peeli Sarso'n, Tum Aur Main...
Jab Tu Chhede Zulfein Meri
Chandan, Khushboo, Tum Aur Main...
Jangal Mein Koi Chhota Sa Ghar
Mitti, Chulha, Tum Aur Main...
Har Raah Har Soo Phaili Khushboo
Baarish, Baadal, Tum Aur Main...
Kandha Tera Aur Sar Mera
Paagal Si Chup, Tum Aur Main..!!
________________________________
اونچے پربت نیلے ساگر
پاگل بارش تُم اور میں
کالے بادل رم جھم بارش
نیلا آنچل تُم اور میں
مہندی خوشبو کاجل آنچل
بند ہتھیلی تُم اور میں
دُور کہیں بارش میں بھیگی
پیلی سرسوں تُم اور میں
جب تُو چھیڑے زُلفیں میری
چندن خوشبو تُم اور میں
جنگل میں کوئی چھوٹا سا گھر
مٹی چولہا تُم اور میں
ہر راہ ہر سُو پھیلی خوشبو
بارش بادل، تُم اور میں
کندھا تیرا اور سر میرا
پاگل سی چُپ تُم اور میں..
______________________
Raat Ki Zulfein Barham Barham
Dard Ki Lau Hai Maddham Maddham
Mere Qisse Galiyo'n Galiyo'n
Tera Charcha Aalam Aalam
Ek Jazaa Jannat Jannat
Ek Khata Hai Aadam Aadam
Ek Azaab Hai Basti Basti
Ek Sadaa Hai Maatam Maatam
Saari Laashein Tukde Tukde
Saari Aankhain Purnam Purnam
Hijr Ke Lamhe Zakhmi Zakhmi
Us Ki Yaadein Marham Marham..!!
رات کی زلفیں برہم برہم
درد کی لو ہے مدھم مدھم
میرے قصے گلیوں گلیوں
تیرا چرچا عالم عالم
ایک جزا ہے جنت جنت
ایک خطا ہے آدم آدم
ایک عزاب ہے بستی بستی
ایک صدا ہے ماتم ماتم
ساری لاشیں ٹکڑے ٹکڑے
ساری آنکھیں پرنم پرنم
ہجر کے لمحے زخمی زخمی
اس کی یادیں مرہم مرہم..
Teri Aankhein
Badi Gahri, Bahut Hi Khoobsurat Hai
Ijaazat Ho To Main Kuch Der
In Mein Jhaank Kar Dekhoo'n
Ke Mujh Ko Chaand Ki Maanind
Jheelo'n Mein Utarna Lutf Deta Hai..!!
_ Parween Shakir
تیری آنکھیں
بڑی گہری بہت ہی خوبصورت ہیں
اجازت ہو تو میں کچھ دیر
ان میں جھانک کر دیکھوں
کہ مجھکو چاند کی مانند
جھیلوں میں اترنا لطف دیتا ہے
_ پروین شاکر
Dil Ki Dehleez Pe Baitha Hoon
Talab Teri Liye...
Ye Makaa'n Ghar Mein Badal Jaaye
Agar Tu Aaye..!!
دل کی دہلیز پہ بیٹھا ہوں، طلب تیری لئے
یہ مکاں گھر میں بدل جائے اگر تُو آئے۔۔
Apne Dukhte Dil Se Kah Do.....
Neend Ke Jangal Mein Kho Jaaye,
Phail Chale Sannaate Saaye.....
Kaafi Jaag Liya, So Jaaye.!...
Zakhmo'n Ki Hariyaali Chup Hai
Dard Ke Perh Aaseb-Zada Hain
Soch Ki Daali Daali Chup Hai,
Apne Dukhte Dil Se Kah Do.....
Neend Ke Jangal Mein Kho Jaaye
Phail Chale Sannaate Saaye
Kaafi Jaag Liya, So Jaaye..!!
_____________________________
Jin Ke Hum Muntazir Rahe Un Ko
Mil Gaye Aur Humsafar Shayad...
.
Jo Bhi Bichhde Wo Kab Mile Hain Faraz
Phir Bhi Tu Intezaar Kar...Shayad..!!
__________________________
Yoon To Kisi Phool Se Rangat Na Gayi Bu Na Gayi,
Ai Mohabbat.! Mere Pahloo Se Magar Tu Na Gayi...
Mit Chale Meri Ummeedo'n Ki Tarah Harf Magar,
Aaj Tak Tere Khato'n Se Teri Khushboo Na Gayi..!!
Akhtar Shiraani
یوں تو کس پھول سے رنگت نہ گئی بُو نہ گئی
اے محبت! مرے پہلو سے مگر تُو نہ گئی
مٹ چلے میری اُمیدوں کی طرح حرف مگر
آج تک تیرے خطوں سے تیری خوشبو نہ گئی
اختر شیرانی
Jaayez Thi Ya Nahi, Tere Haq Mein Thi Magar,
Karta Tha Jo Kabhi Wo Wakaalat Tamaam Shud...
Wo Roz Roz Marney Ka Qissa Hau Khatm,
Wo Roz Dil Ko Cheerti Wahshat Tamaam Shud..!!
Mohsin Naqwi
جائز تھی یا نہیں، ترے حق میں تھی مگر
کرتا تھا جو کبھی وہ وکالت تمام شُد
وہ روز روز مرنے کا قصہ ہوا تمام
وہ روز دِل کو چِیرتی وحشت تمام شُد
محسن نقوی
Aao Us Ke Paas Chalte Hain
Us Ko Kahte Hain Kuch Dawa Kar De,
Apni Fitrat Ko Chhod Kar Ek Pal
Koi Waada To Wo Wafa Kar De..!!
Azaab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya,
Ke Ek Umr Chale Aur Ghar Nahi Aaya...
Karein To Kis Se Karein Narsaaiyo'n Ka Gilaa,
Safar Tamaam Huaa, Humsafar Nahi Aaya..!!
Iftikhaar Aarif
عذاب یہ بھی کسی اور پر نہیں آیا
کہ ایک عمر چلے اور گھر نہیں آیا
کریں تو کس سے کریں نارسائیوں کا گلہ
سفر تمام ہوا ہمسفر نہیں آیا..
افتخار عارف
Daagh Duniya Ne Diye Zakhm Zamaane Se Mile,
Hum Ko Tohfe Ye Tumhein Dost Banaane Se Mile,
Kaise Maanein Ke Unhein Bhool Gaya Tu Ai Kaif,
Un Ke Khat Aaj Humein Tere Sirhaane Se Mile..!!
Kaif Bhopali
داغ دنیا نے دیے زخم زمانے سے ملے
ہم کو تحفے یہ تمہیں دوست بنانے سے ملے
کیسے مانیں کہ انہیں بھول گیا تو اے کیف
ان کے خط آج ہمیں تیرے سرہانے سے ملے
کیف بھوپالی
Meri Nakaam Mohabbat Mujhe Waapas Kar Di,
Yoon Mere Haath Meri Laash Thama Di Us Ne...
Jaanta Tha Ke Mujhe Maut Sukoo'n Bakhshegi,
Wo Sitamgar Tha So Jeene Ki Duaa Di Us Ne..!!
_Mohsin Naqwi
میری ناکام محبت مجھے واپس کر دی
یوں مرے ہاتھ میری لاش تھما دی اُس نے
جانتا تھا کہ مجھے موت سکون بخشے گی
وہ ستمگر تھا سو جینے دی دُعا دی اُس نے
_محسن نقوی
Tu Kahi'n Bheegta Na Ho Tanha
Ek Dhadka Laga Gayi Baarish.!
Band Khidki Ke Saaf Sheesho'n Par
Aks Tera Bana Gayi Baarish.!
Waqt-e-Rukhsat Tujhe Nahi Ma'aloom
Kitne Aansu Chhupa Gayi Baarish.!
Qatra Qatra Giri Magar Phir Bhi
Zakhm Gahra Laga Gayi Baarish.!
تو کہیں بھیگتا نہ ہو تنہا
ایک دھڑکا لگا گئی بارش..
بند کھڑکی کے صاف شیشوں پر
عکس تیرا بنا گئی بارش..
وقتِ رُخصت تجھے نہیں معلوم
کتنے آنسو چھپا گئی بارش..
قطرہ قطرہ گِری مگر پھر بھی
زخم گہرا لگا گئی بارش..!!
______________________
Bichhad Rahe To Palko'n Pe Kyun Sitaare Hain,
Qubool-o-radd Ke Sabhi Faisle Tumhaare Hain...
Tumhaari Baat Pe Kaise Yaqeen Kar Loo'n Main,
Tumhaare Saath Bahut Roz-o-shab Guzaare Hain..!!
بچھڑ رہے تو پلکوں پہ کیوں ستارے ہیں
قبول و رد کے سبھی فیصلے تمھارے ہیں
تمھاری بات پہ کیسے یقین کرلوں میں
تمھارے ساتھ بہت روز و شب گزارے ہیں..
____________________________
Wahi Huaa Na.!
Kaha Nahi Tha...
Ke Ahad-e-Ulfat, Samajh Ke Baandho, Nibha Sakoge.?..
Mujhe Samay Ki Timaazato'n Se Bacha Sakoge.?..
Bahut Kaha Tha, Subaahato'n Mein Bahal Na Jaana...
Mujhe Gira Ke Sanbhal Na Jaana...
Badalti Rut Mein Badal Na Jaana...
Bahut Kaha Tha.!..
Bahal Gaye Na,
Kaha Nahi Tha, Sanbhal Gaye Na,
Wahi Hua Na, Badal Gaye Na.!!
وہی ہوا نا
کہا نہیں تھا
کہ عہد الفت، سمجھ کے باندھو نبھا سکو گے؟
مجھے سمے کی تمازتوں سے بچا سکو گے؟
بہت کہا تھاصباحتوں میں بہل نہ جانا
مجھے گرا کے سنبھل نہ جانا
بدلتی رت میں بدل نہ جانا
بہت کہا تھا
بہل گئے نا
کہا نہیں تھا، سنبھل گئے نا
وہی ہوا نا بدل گئے نا..!!
_________________________
Wo Kahti Hai... Suno Jaanaa,
Mohabbat Maum Ka Ghar Hai,
Tapish Ye Bad-gumaani Ki
Kahi'n Pighla Na De Is Ko.....
Main Kahta Hoon Ke Jis Dil Mein
Zara Bhi Bad-gumaani Ho
Wahaan Kuch Aur Ho To Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti.....
Wo Kahti Hai, Sadaa Aise Hi
Kya Tum Mujh Ko Chaahoge,
Ke Main Is Mein Kami Koi
Gawaara Kar Nahi Sakti.....
Main Kahta Hoon, Mohabbat Kya Hai.?..
Ye Tum Ne Sikhaya Hai,
Mujhe Tum Se Mohabbat Ke Siwaa Kuch Bhi Nahi Aata.....
Wo Kahti Hai, Judaai Se Bahut Darta Hai Mera Dil,
Ke Khud Ko Tum Se Hatt Ke Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab.....
Main Kahta Hoon, Yahi Khadshe
Bahut Mujh Ko Sataate Hain,
Magar Sach Hai
Mohabbat Mein Judaai Saath Chalti Hai,
Wo Kahti Hai, Bataao Kya
Mere Bin Ji Sakoge Tum,
Meri Baatein, Meri Yaadein, Meri Aankhein Bhula Doge,
Main Kahta Hoon, Kabhi Is Baat Par
Socha Nahi Maine,
Magar Ek Pal Ko Bhi Sochun To Ye Saansein Rukne Lagti Hain.....
Wo Kahti Hai, Tumhein Mujh Se
Mohabbat Is Qadar Kyoon Hai,
Ke Mai Ek Aam Si Ladki Tumhein Kyoon Khaas Lagti Hoon,
Main Kahta Hoon, Kabhi Khud Ko
Meri Aankho'n Se Tum Dekho,
Meri Deewangi Kyoon Hai Ye Khud Hi Jaan Jaaogi.....
Wo Kahti Hai, Mujhe Waaraftagi Se
Dekhte Kyoon Ho,
Ke Mai Khud Ko Bahut Hi Qeemti Mahsoos Karti Hoon,
Main Kahta Hoon, Mutaa-e-jaa'n
Bahut Anmol Hoti Hai,
Tumhein Jab Dekhta Hoon, Zindagi Mahsoos Karta Hoon.....
Wo Kahti Hai, Mujhe Alfaaz Ke
Jugnoo Nahi Milte,
Ke Tumhein Bata Sakun Mere Dil Mein Kitni Mohabbat Hai,
Main Kahta Hoon, Mohabbat To
Nigaaho'n Se Jhalakti Hai,
Tumhaari Khamoshi Mujh Se Tumhaari Baat Karti Hai.....
Wo Kahti Hai, Bataao Na
Kise Khone Se Darte Ho,
Bataao Kaun Hai Wo Jise Ye Mausam Bulaate Hain,
Main Kahta Hoon, Ye Meri Shayeri
Hai Aaina Dil Ka,
Zara Dekho, Bataao Kya Tumhein Is Mein Nazar Aaya.....
Wo Kahti Hai, Ke.... Bahut Baatein
Banaate Ho,
Magar Sach Hai, Ye Baatein Bahut Hi Shaad Rakhti Hain,
Main Kahta Hoon, Ye Sab Baatein
Ye Fasaane Ek Bahaana Hain,
Ke Kuch Pal Zindgaani Ke Tumhaare Saath Katt Jaayein.....
Phir Is Ke Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai,
Nigaahein Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rahte Hain..!!
____________________________________
وہ کہتی ہے سنو جاناں ،
محبّت موم کا گھر ہے
تپش یہ بدگمانی کی
کہیں پگھلا نہ دے اس کو
میں کہتا ہوں کے جس دل میں
ذرا بھی بدگمانی ہو
وہاں کچھ اور ہو تو ہو
محبّت ہو نہیں سکتی
وہ کہتی ہے سدا ایسے ہی
کیا تم مجھ کو چاہو گے
کہ میں اس میں کمی کوئی
گنوارہ کر نہیں سکتی
میں کہتا ہوں محبّت کیا ہے
یہ تم نے سکھایا ہے
مجھے تم سے محبّت کے سوا کچھ بھی نہیں آتا
وہ کہتی ہے جدائی سے بہت ڈرتا ہے میرا دل
کہ خود کو تم سے ہٹ کر دیکھنا
ممکن نہیں ہے اب
میں کہتا ہوں یہی خدشے
بہت مجھ کو ستاتے ہیں
مگر سچ ہے
محبّت میں جدائی ساتھ چلتی ہے
وہ کہتی ہے بتاؤ کیا
میرے بن جی سکو گے تم
میری باتیں، میری یادیں، میری آنکھیں بھلا دو گے
میں کہتا ہوں کبھی اس بات پر
سوچا نہیں میں نے
مگر اک پل کو بھی سوچوں تو یہ سانسیں رکنے لگتیں ہیں
وہ کہتی ہے تمہیں مجھ سے
محبّت اس قدر کیوں ہے
کہ میں اک عام سی لڑکی تمہیں کیوں خاص لگتی ہوں
میں کہتا ہوں کبھی خود کو میری آنکھوں سے تم دیکھو
میری دیوانگی کیوں ہے یہ خود ہی جان جاو گی
وہ کہتی ہے کہ مجھے وارفتگی سے دیکھتے کیوں ہو
کہ میں خود کو بہت ہی قیمتی محسوس کرتی ہوں
میں کہتا ہوں متاعِ جاں بہت انمول ہوتی ہے
تمہیں جب دیکھتا ہوں زندگی محسوس کرتا ہوں
وہ کہتی ہے مجھے الفاظ کے جگنو نہیں ملتے
کہ تمہیں بتا سکون میرے دل میں کتنی مہبت ہے
میں کہتا ہوں محبت تو نگاہوں سے جھلکتی ہے
تمہاری خاموشی مجھ سے تمہاری بات کرتی ہے
وه کہتی ہے بتاؤ نہ کسے کھونے سے ڈرتے ہو
بتاؤ کون ہے وہ جسے یہ موسم بلاتے ہیں
میں کہتا ہوں یہ میری شاعری ہے آئینہ دل کا
ذرا دیکھو، بتاؤ کیا تمہیں اس میں نظر آیا
وہ کہتی ہے کے ، بہت باتیں بناتے ہو
مگر سچ ہے یہ باتیں بہت ہی شاد رکھتی ہیں
میں کہتا ہوں یہ سب باتیں، یہ فسانے اک بہانہ ہیں
کہ کچھ پل زندگانی کے تمھارے ساتھ کٹ جائیں
پھر اس کے بعد خاموشی کا دلکش رقص ہوتا ہے
نگاہیں بولتی ہیں اور لب خاموش رهتے ہیں..!!
_________________________________
Zawaal-e-shab main sitaroon ne
saath chhorr diya,
Saba chali to chiraagon ne
saath chhorr diya,
Mila jo mouqa mujhe un se baat
karne ka,
Mere naseeb k lafzon ne
saath chhorr diya,
Woh ru-ba-ru thi magar uss ko
dekhte kaise,
Woh rang-o-noor thi aankh'n ne
saath chhorr diya.!!
______________________________
Mohabbat Ka Asar Hoga,
Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.!
Wo Badlega Chalan Apna,
Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.!
Tasalli Bhi Use Dena
Ye Mumkin Hai Main Laut Aaun,
Magar Ye Bhi Use Kahna,
Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.!
Tumhaara Tha,
Tumhaara Hoon,
Tumhaara Hi Rahunga Main,
Mere Baare Mein Is Darja
Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.!
Mohabbat Ka Bharam Toota
To Ab Chhup Chhup Ke Rote Ho,
Tumhein Maine Kaha Tha Naa,
Galat-Fahmi Mein Mat Rahna..!!
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺍﺛﺮ ﮨﻮ ﮔﺎ ,
ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ
ﻭﮦ ﺑﺪﻟﮯ ﮔﺎ ﭼﻠﻦ ﺍﭘﻨﺎ ,
ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ
ﺗﺴﻠﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮯ ﺩﯾﻨﺎ ,
ﯾﮧﻣﻤﮑﻦ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻟﻮﭦ ﺁﺅﮞ
ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮯ ﮐﮩﻨﺎ ,
ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ..
ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﺗﮭﺎ ,
ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮨﻮﮞ ,
ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮨﯽ ﺭﮨﻮﮞ ﮔﺎ ﻣﯿﮟ
ﻣﯿﺮﮮ ﺑﺎﺭﮮ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺩﺭﺟﮧ
غلطﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ.
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺑﮭﺮﻡ ﭨﻮﭨﺎ
تو ﺍﺏﭼﮭﭗ ﭼﮭﭗ ﮐﮯ ﺭﻭﺗﮯ ﮨﻮ
ﺗﻤﮭﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ ﻧﺎں '
ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ'
_____________________________
Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye,
Paani Mein Aks Chaand Ka Dekha To Ro Diye,
Naghma Kisi Ne Saaz Pe Chheda To Ro Diye,
Guncha Kisi Ne Shaakh Se Toda To Ro Diye,
Udta Hua Ghubaar Sar-e-Raah Dekh Kar
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye,
Baadal Fizaa Mein Aap Ki Tasweer Ban Gaye,
Saaya Koi Khyaal Se Guzra To Ro Diye,
Rang-e-shafaq Se Aag Shagoofo'n Mein Lag Gayi,
Saaghar Humaare Haath Se Chhalka To Ro Diye..!!
پوچھا کسی نے حال کسی کا تو رو دئیے
پانی میں عکس چاند کا دیکھا تو رو دئیے
نغمہ کسی نے ساز پہ چھیڑا تو رو دئیے
غنچہ کسی نے شاخ سےتو ڑا تورو دئیے
اڑتا ہوا غبار سر راہ دیکھ کر
انجام ہم نے عشق کا سوچا تو رو دئیے
بادل فضا میں آپ کی تصویر بن گئے
سایہ کوئی خیال سے گزرا تو رو دئیے
رنگ شفق سے آگ شگوفوں میں لگ گئی
سا غر ہمارے ہاتھ سے چھلکا تو رو دئیے..!!
______________________________
Kabhi Tum Bhi Nazar Aao...
Subah Se Shaam Tak Hum Ko
Bahut Se Log Milte Hain
Nigaaho'n Se Guzarte Hain...
Koi Andaaz Tum Jaisa
Koi Hum-Naam Tum Jaisa
Magar Tum Hi Nahi Milte...
Bahut Be-chain Rahte Hain
Duaa Ko Haath Uthte Hain
Duaa Mein Yahi Kahte Hai...
Lagi Hai Bheed Logo'n Ki
Magar Is Bheed Mein "Mohsin"
Kabhi Tum Bhi Nazar Aao
Kabhi Tum Bhi Nazar Aao..!!
________________________
کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔
صبح سے شام تک ہم کو۔۔
بہت سے لوگ ملتے ہیں۔۔
نگاہوں سے گزرتے ہیں۔۔
کؤی انداز تم جیسا۔۔
کؤی ہم نام تم جیسا۔۔
مگر تم ہی نہیں ملتے۔۔
بہت بے چین رہتے ہیں۔۔
دعا کو ہاتھ اٹھتے ہیں۔۔
دعا میں یہی کہتے ہیں۔۔
لگی ہے بھیڑ لوگوں کی۔۔
مگر اس بھیڑ میں محسن۔۔
کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔
کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔
_____________________
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar, Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...