Raat ke andheron ko raushni wo kya dega,
Ek diya jalayega sau diye bujha dega,
Muddatein hui mujh se ghar chhuda diya mera,
Kya zamana ab tera saath bhi chhuda dega,
Sab ke naqli chehre hain sab ka ek aalam hai,
Koi is zamane mein kis ko aaina dega,
Main abhi to mujrim hun aap apna qaatil hun,
Kaanp uthega munsif bhi jab mujhe saza dega,
Jo diya ta'assub ka tum jala ke aaye ho,
Subah tak na jaane wo kitne ghar jala dega,
Jaanta hun main us ki saadgi-o-masoomi,
Wo mera kabutar bhi haath se uda dega,
Us ke paas moti hain mere paas aansu hain,
Main abhi se kya kah dun kaun kis ko kya dega,
Us se ab jo puchhunga us ka haal ai 'Saghar',
Koi sheyr mera hi wo mujhe suna dega.!!
"Saghar Azmi"
No comments:
Post a Comment