Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey achche lagte hain,
Pal do pal ke sahi, magar yeh rishtey achche lagte hain,
Rang jagate jumlon se lagta hai, jaise us ko bhi,
Khatti meethi baatain karte ladkey achche lage hain,
Humein khabar hai sab tabeerein haath na aati pariyaan hain,
Phir bhi jaagti aankhon dekhe sapney achche lagte hain,
Motiyon waaley mukhde bhi apne ahbaab mein shaamil they,
Magar humain to khush’khat saanwley achche lagte hain,
Hum donon mastaanon ki ik khwahish milti julti hai,
Mujh ko shehzadi, us ko shehzadey achche lagte hain,
Hasan Raza aakhir aisi ik khoobi hogi, jis ke sabab,
Sheher ki mahjabeenon ko hum itney achche lagte hain,
Kaanch kanwaari umron ko jab matti mein rul jaana hai,
Phir kyun Raza yeh lamha bhar ke meley achche lagte hain…
– Hasan Abbas Raza
No comments:
Post a Comment