Thursday, December 24, 2020
Kisi Ke Hijr Mein Yun Toot Kar Roya Nahi Karte
Wednesday, December 23, 2020
Phone Pe Uski Baatein Uske Qehqahey Achche Lagte Hain
Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey achche lagte hain,
Pal do pal ke sahi, magar yeh rishtey achche lagte hain,
Rang jagate jumlon se lagta hai, jaise us ko bhi,
Khatti meethi baatain karte ladkey achche lage hain,
Humein khabar hai sab tabeerein haath na aati pariyaan hain,
Phir bhi jaagti aankhon dekhe sapney achche lagte hain,
Motiyon waaley mukhde bhi apne ahbaab mein shaamil they,
Magar humain to khush’khat saanwley achche lagte hain,
Hum donon mastaanon ki ik khwahish milti julti hai,
Mujh ko shehzadi, us ko shehzadey achche lagte hain,
Hasan Raza aakhir aisi ik khoobi hogi, jis ke sabab,
Sheher ki mahjabeenon ko hum itney achche lagte hain,
Kaanch kanwaari umron ko jab matti mein rul jaana hai,
Phir kyun Raza yeh lamha bhar ke meley achche lagte hain…
– Hasan Abbas Raza
Wednesday, May 20, 2020
Ab Ke Ye Soch Ke Beemar Pade Hain Ke Humein
Tuesday, May 19, 2020
Apne Kirdaar Ko Mausam Se Bachaye Rakhna
Muqarrar Kar Diye Jaate Hai Sauda-sulf Laane Par
Dariya Ki Dahleez Pe Baithi Soch Rahi Hain Ye Aankhein
Andaaz-e-bayaan Rang Badal Deta Hai Warna
Sabab Talaash Karo Apne Haar Jaane Ka
Lazzat-e-wasl Se Bhi Badh Ke Maza Aayega
Majboori-e-halaat Hi Zanjeer Hai Warna
Sunday, March 1, 2020
Us Ko Bhi Paarsaai Ka Apni Khumaar Hai
Sunday, January 19, 2020
Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi
Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi,
is Qadar Uljhan Mein Pahle Zindagi Dekhi Na Thi..
Ye Tamasha Bhi Ajab Hai Un Ke Uth Jaane Ke Baad,
Main Ne Din Mein Is Se Pahle Teergi Dekhi Na Thi..
Aap Kya Aaye Ke Rukhsat Sab Andhere Ho Gaye,
Is Qadar Ghar Mein Kabhi Bhi Raushni Dekhi Na Thi..
Aap Se Aankhein Mili Thin Phir Na Jaane Kya Hua,
Log Kahte Hain Ke Aisi Be-khudi Dekhi Na Thi..
Mujh Ko Rukhsat Kar Rahe Hain Wo Ajab Andaaz Se,
Aankh Mein Aansu Labon Par Ye Hansi Dekhi Na Thi..
Kis Qadar Khush Hun Main 'Nasir' Un ko Pa Lene Ke Baad,
Aisa Lagta Hai Kabhi Aisi khushi Dekhi Na Thi.!!
"Hakeem Nasir"
______________________________
عشق کر کے دیکھ لی جو بے بسی دیکھی نہ تھی
اس قدر الجھن میں پہلے زندگی دیکھی نہ تھی
یہ تماشا بھی عجب ہے ان کے اٹھ جانے کے بعد
میں نے دن میں اس سے پہلے تیرگی دیکھی نہ تھی
آپ کیا آئے کہ رخصت سب اندھیرے ہو گئے
اس قدر گھر میں کبھی بھی روشنی دیکھی نہ تھی
آپ سے آنکھیں ملی تھیں پھر نہ جانے کیا ہوا
لوگ کہتے ہیں کہ ایسی بے خودی دیکھی نہ تھی
مجھ کو رخصت کر رہے ہیں وہ عجب انداز سے
آنکھ میں آنسو لبوں پر یہ ہنسی دیکھی نہ تھی
کس قدر خوش ہوں میں ناصرؔ ان کو پا لینے کے بعد
ایسا لگتا ہے کبھی ایسی خوشی دیکھی نہ تھی
______________________________
इश्क़ कर के देख ली जो बेबसी देखी न थी
इस क़दर उलझन में पहले ज़िंदगी देखी न थी
ये तमाशा भी अजब है उन के उठ जाने के बाद
मैं ने दिन में इस से पहले तीरगी देखी न थी
आप क्या आए कि रुख़्सत सब अंधेरे हो गए
इस क़दर घर में कभी भी रौशनी देखी न थी
आप से आँखें मिली थीं फिर न जाने क्या हुआ
लोग कहते हैं कि ऐसी बे-ख़ुदी देखी न थी
मुझ को रुख़्सत कर रहे हैं वो अजब अंदाज़ से
आँख में आँसू लबों पर ये हँसी देखी न थी
किस क़दर ख़ुश हूँ मैं 'नासिर' उन को पा लेने के बाद
ऐसा लगता है कभी ऐसी ख़ुशी देखी न थी.
Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar, Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...
-
Koi Aisa Jaadu Tona Kar... Mere Ishq Mein Wo Deewana Ho, Yoon Ulat Pulat Kar Gardish Ki... Main Shama Wo Parwana Ho, Zara Dekh Ke Chaal ...
-
Hum ne har dukh ko mohabbat ka tasalsul samjha.. Hum koi tum they ke duniya se shikayat kartay.! Ham ne sookhi hui shaakhon pe lahu chidk...
-
Bakht Ke Takht Se Yak-lakht Utara Hua Shakhs, Tu Ne Dekha Hai Kabhi Jeet Ke Haara Hua Shakhs... Hum To Maqtal Mein Bhi Aate Hain Ba-sad Sh...