Tuesday, November 19, 2019

Har Ghadi Chashm-e-kharidaar Mein Rahne Ke Liye

Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rahne ke liye, 

Kuchh hunar chahiye bazaar mein rahne ke liye.. 

Main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the, 

Maskhare ban gaye darbaar mein rahne ke liye.. 

Aisi majboori nahin hai ki chalun paidal main, 

Khud ko garmata hun raftaar mein rahne ke liye.. 

Ab to badnaami se shohrat ka wo rishta hai ke log, 

Nange ho jaate hain akhbaar mein rahne ke liye.!! 


"Shakeel Aazmi" 

_________________________ 


ہر گھڑی چشم خریدار میں رہنے کے لیے

کچھ ہنر چاہئے بازار میں رہنے کے لیے

میں نے دیکھا ہے جو مردوں کی طرح رہتے تھے

مسخرے بن گئے دربار میں رہنے کے لیے

ایسی مجبوری نہیں ہے کہ چلوں پیدل میں

خود کو گرماتا ہوں رفتار میں رہنے کے لیے

اب تو بدنامی سے شہرت کا وہ رشتہ ہے کہ لوگ

ننگے ہو جاتے ہیں اخبار میں رہنے کے لیے 

_________________________ 


 हर घड़ी चश्म-ए-ख़रीदार में रहने के लिए

कुछ हुनर चाहिए बाज़ार में रहने के लिए

मैं ने देखा है जो मर्दों की तरह रहते थे

मस्ख़रे बन गए दरबार में रहने के लिए

ऐसी मजबूरी नहीं है कि चलूँ पैदल मैं

ख़ुद को गर्माता हूँ रफ़्तार में रहने के लिए

अब तो बदनामी से शोहरत का वो रिश्ता है कि लोग

नंगे हो जाते हैं अख़बार में रहने के लिए

_________________________ 

 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...