Sunday, April 28, 2019

Gulaab Aankhein, Sharaab Aankhein

Gullab Aankhein, Sharaab Aankhein,
Yahi To Hain La-jawaab Aankhein..

Inhin Mein Ulfat, Inhin Mein Nafrat,
Sabaab Aankhein, Azaab Aankhein..

Kabhi Nazar Mein Balaa Ki Shokhi,
Kabhi Saraapa Hijaab Aankhein..

Kabhi Chhupaati Hain Raaz Dil Ka,
Kabhi Hain Dil Ki Kitaab Aankhein..

Kisi Ne Dekhi To Jheel Jaisi,
Kisi Ne Paayi Saraab Aankhein..

Wo Aaye To Log Mujh Se Bole,
Huzoor Aankhein, Janaab Aankhein..

Ajeeb Tha Guftugu Ka Aalam,
Sawaal Koi Jawaab Aankhein..

Ye Mast Mast Be-misaal Aankhein,
Musawwari Ka Kamaal Aankhein..

Saraab Rab Ne Haraam Kar Di, 
Magar Kyun Hain Halaal Aankhein..

Hazaaron In Par Qatl Honge,
Khuda Ki Bandi Sambhaal Aankhein.!!


گلاب آنکھیں، شراب آنکھیں
یہی تو ہيں لا جواب آنکھیں

انھی میں الفت،انھی میں نفرت
ثواب آنکھیں، عذاب آنکھیں

کبھی نظر میں بلا کی شوخی
کبھی سراپا حجاب آنکھیں

کبھی چھپاتی ہيں راز دل کے
کبھی ہيں دل کی کتاب آنکھیں

کسی نے دیکھی تو جھیل جیسی
کسی نے پائى سراب آنکھیں ..

وہ آئے تو لوگ مجھ سے بولے
حضور آنکھیں، جناب آنکھیں

عجیب تھا گفتگو کا عالم
سوال کوئى،جواب آنکھیں

یہ مست مست بے مثال آنکھیں
مصوری کا ..........کمال آنکھیں

شراب رب نے حرام کر دی
مگرکیوں ہیں حلال آنکھیں ..

ہزاروں ان پر قتل ہوں گے
خدا کی بندی سنبھال آنکھیں...!! 

2 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...