Monday, February 25, 2019

Chehra Hai Kanwal Jaisa, Khaslat Hai Ghazal Jaisi

Chehra Hai Kanwal Jaisa, Khaslat Hai Ghazal Jaisi..
Wo Husn-e-murawwat Hai Mumtaz Mahal Jaisi.!

Nudrat Mein, Latafat Mein, Asghar Ki Ghazal Jaisi..
Guftaar Mein Sheerini, Hai Sabr Ke Phal Jaisi.! 

Mumkin Hi Nahi Us Ke Ausaaf Bayaan Karna..
Wo Shaam-e-abad Jaisi, Wo Subah-e-azal Jaisi.!

Hain Us Ke Bhi Seene Mein Madfoon Tamannaen..
Yoon Us Ko Samajhta Hun, Main Taj Mahal Jaisi.! 

Paaband To Karti Hain Aazaar Nahi Deti..
Zanjeer Nahi Koi Us Zulf Ke Bal Jaisi.!! 

چہرہ ہے کنول جیسا،خصلت ہے غزل جیسی
وہ حسن مروت میں،ممتاز محل جیسی

ندرت میں ،لطافت میں،اصغر کی غزل جیسی
گفتار میں شیرینی،ہے صبر کے پھل جیسی

ممکن ہی نہیں اس کے اوصاف بیاں کرنا
وہ شام ابد جیسی ،وہ صبح ازل جسی

ہیں اس کے بھی سینے میں ،مدفون تمنائیں
یوں اس کو سمجھتا ہوں،میں تاج محل جیسی

پابند تو کرتی ہے ،آزار نہیں دیتی
زنجیر نہیں کوئی اس زلف کے بل جیسی.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...