Friday, August 10, 2018

Teri Anjuman Mein Zaalim Ajab Ehtimaam Dekha

Teri anjuman mein zaalim ajab ehtimaam dekha,
Kahin zindagi ki baarish kahin qatl-e-aam dekha.!

Meri arz-e-shauq padh lein ye kahaan unhein gawara,
Wahin chaak kar diya khat jahaan mera naam dekha.!

Badi minnato'n se aa kar wo mujhe mana rahe hain,
Main bacha raha hun daaman mera intiqaam dekha.!

Ai 'Shakeel' rooh-parwar teri be-khudi ke naghme,
Magar aaj tak na hum ne tere lab pe jaam dekha.!!

"Shakeel Badayuni"
____________________



تری انجمن میں ظالم عجب اہتمام دیکھا
کہیں زندگی کی بارش کہیں قتل عام دیکھا..

میری عرض شوق پڑھ لیں یہ کہاں انہیں گوارا
وہیں چاک کر دیا خط جہاں میرا نام دیکھا..

بڑی منتوں سے آ کر وہ مجھے منا رہے ہیں
میں بچا رہا ہوں دامن مرا انتقام دیکھا..

اے شکیلؔ روح پرور تری بے خودی کے نغمے
مگر آج تک نہ ہم نے ترے لب پہ جام دیکھا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...