Zindagi kya hue wo apne zamane waale..
Yaad aate hain bahut dil ko dukhane waale.!
Raaste chup hain naseem-e-sahri bhi chup hai..
Jaane kis samt gaye thokarein khaane waale.!
Ajnabi ban ke na mil umr-e-gurezaa'n hum se..
The kabhi hum bhi tere naaz uthane waale.!
Aa ke main dekh lun khoya hua chehra apna..
Mujh se chhup kar meri tasveer banane waale.!
Hum to ek din na jiye apni khushi se ai dil..
Aur honge tere ahsaan uthane waale.!
Dil se uthte hue sholon ko kahaan le jaayen..
Apne har zakhm ko pahlu mein chhupane waale.!
Nikhat-e-subah-e-chaman bhool na jaana ke tujhe..
The humin neend se har roz jagaane waale.!
Hans ke ab dekhte hain chaak-e-garebaa'n mera..
Apne aansu mere daaman mein chhupane waale.!
Kis se poochhun ye siyah raat kategi kis din..
So gaye ja ke kahaan khwab dikhane waale.!
Har qadam door hui jaati hai manzil hum se..
Raah-e-gum-karda hain khud raah dikhane waale.!
Ab jo rote hain mere haal-e-zaboo'n par 'Akhtar'..
Kal yahi the mujhe hans hans ke rulane waale.!!
"Akhtar Saeed Khan"
__________
Naseem-e-sahri = morning breeze,
Umr-e-gurezaa'n = Fleeting Life,
Nikhat-e-subah-e-chaman = fragrance of morning of garden,
Raah-e-gum-karda = lost way,
Haal-e-zaboo'n = bad condition,
No comments:
Post a Comment