Yaar Ko Deeda-e-khoon-baar Se Ojhal Kar Ke,
Mujh Ko Haalaat Ne Maara Hai Mukammal Kar Ke..
Yaani Tarteeb-e-karam Ka Bhi Saleeqa Tha Use,
Us Ne Patthar Bhi Uthaya Mujhe Paagal Kar Ke..
Eid Ka Din Hai So Kamrey Mein Pada Hoon 'Aslam',
Apne Darwazey Ko Baahar Se Muqaffal Kar Ke.!!
یار کو دیدۂ خوں بار سے اوجھل کر کے
مجھ کو حالات نے مارا ہے مکمل کر کے..
یعنی ترتیب کرم کا بھی سلیقہ تھا اسے
اس نے پتھر بھی اٹھایا مجھے پاگل کر کے..
عید کا دن ہے سو کمرے میں پڑا ہوں اسلمؔ
اپنے دروازے کو باہر سے مقفل کر کے..
No comments:
Post a Comment