Yaad aayen jo ayyaam-e-bahaara'n to kidhar jaayen,
Ye to koi chaara nahin sar phod ke mar jaayen..
Qadmon ke nishaan hain na koi meel ka patthar,
Is raah se ab jin ko guzarna hai guzar jaayen..
Rasmein hi badal di hain zamane ne dilon ki,
Kis waz'a se us bazm mein ai deeda-e-tar jaayen..
Jaan dene ke daawe hon ke paimaan-e-wafa ho,
Ji mein to ye aata hai ke ab hum bhi mukar jaayen..
Har mauj gale lag ke ye kahti hai thehar jao,
Dariya ka ishaara hai ke hum paar utar jaayen..
Shishe se bhi naazuk hain inhein chhu ke na dekho,
Aisa na ho aankhon ke haseen khwab bikhar jaayen..
Tareek hue jaate hain badhte hue saaye,
'Akhtar' se kaho shaam hui aap bhi ghar jaayen.!!
"Akhtar Saeed Khan"
No comments:
Post a Comment