Tuesday, July 17, 2018

Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka

Wo zamana guzar gaya kab ka,
Tha jo deewana mar gaya kab ka..

Dhundhta tha jo ek nayi duniya,
Laut ke apne ghar gaya kab ka..

Wo jo laaya tha hum ko dariya tak,
Paar akele utar gaya kab ka..

Us ka jo haal hai wahi jaane,
Apna to zakhm bhar gaya kab ka..

Khwab-dar-khwab tha jo shiraaza,
Ab kahaan hai bikhar gaya kab ka.!!

"Jawed Akhtar"
_______________

Shiraaza = binding (of a book), arrangement
बिखरी हुई चीज़ों की एकत्रता,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...