Tum se waabasta hai meri maut meri zindagi,
Jism se apne kabhi saaya juda hota nahin..
Is tarah fariyaad karne ko kaleja chahiye,
Ab koi gulshan mein mera hum-nawa hota nahin..
Wo mohabbat-aafreen deta hai hasb-e-zarf-e-ishq,
Phir kisi se bhi talab-gaar-e-wafa hota nahin..
Ek takhayyul hai ke jis mein mahw hai mera dimaagh,
Ek tasawwur ye jo aankhon se juda hota nahin..
saii-e-fahm-e-zaat-e-baari aur ye mahdood aql,
Jis ka haasil kuchh bhi hairat ke siwa hota nahin..
Ashraf-ul-makhlooq kahte hain usi majboor ko,
Jis ka koi kaam be-dast-e-dua hota nahin..
Jitne armaan dil mein the 'Makhmoor' sab maujood hain,
Ek bhi to apne markaz se juda hota nahin.!!
"Makhmoor Dehlvi"
No comments:
Post a Comment