Friday, July 6, 2018

Tere Aane Ka Intizaar Raha

Tere aane ka intizaar raha,
Umr bhar mausam-e-bahaar raha.. 

Paa-ba-zanjeer zulf-e-yaar rahi,
Dil aseer-e-khyaal-e-yaar raha..

Saath apne ghumon ki dhoop rahi,
Saath ek sarw-e-saya-daar raha..

Main pareshan-haal aashufta,
Surat-e-rang-e-rozgaar raha..

Aaina aaina raha phir bhi,
Laakh dar-parda-e-ghubaar raha..

Kab hawaaen tah-e-kamand aayin,
Kab nigaahon pe ikhtiyaar raha..

Tujh se milne ko be-qaraar tha dil,
Tujh se mil kar bhi be-qaraar raha.!!

"Rasa Chughtai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...