Thursday, July 5, 2018

So Raha Tha To Shor Barpa Tha

So raha tha to shor barpa tha,
Uth ke dekha to main akela tha..

Khak par mere khwab bikhre the,
Aur main reza reza chunta tha..

Chaar jaanib wajood ki deewar,
Apni aawaz main hi sunta tha..

Umr bhar boond boond ko tarse,
Saamne ghar ke ek dariya tha..

Lab-e-dariya khade rahe donon,
Wo bhi pyasa tha main bhi pyasa tha.!!

"Razi Tirmizi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...