Monday, July 16, 2018

Main Khud Bhi Sochta Hun Ye Kya Mera Haal Hai

Main khud bhi sochta hun ye kya mera haal hai,
Jis ka jawaab chahiye wo kya sawaal hai...

Ghar se chala to dil ke siwa paas kuchh na tha,
Kya mujh se kho gaya hai mujhe kya malaal hai...

Aasoodgi se dil ke sabhi daagh dhul gaye,
Lekin wo kaise jaaye jo shishe mein baal hai...

Be-dast-o-paa hun aaj to ilzaam kis ko dun,
Kal main ne hi buna tha ye mera hi jaal hai...

Phir koi khwab dekhun koi aarzu karun, 
Ab ai dil-e-tabaah tera kya khyaal hai.!!

"Jawed Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...