Kin lafzon mein itni kadwi itni kaseeli baat likhun,
Sher ki main tahzeeb bana hun ya apne haalat likhun...
Ghum nahin likkhun kya main ghum ko, jashn likhun kya maatam ko,
Jo dekhe hain main ne janaaze kya un ko baraat likhun...
Kaise likhun main chaand ke qisse kaise likhun main phool ki baat,
Ret udaaye garm hawa to kaise main barsaat likhun...
Kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahar bujhe khanjar,
Khud se bhi jo main ne chhupaye kaise wo sadmaat likhun...
Takht ki khwahish, loot ki laalach, kamzoron par zulm ka shauq,
Lekin un ka farmana hai main in ko jazbaat likhun...
Qaatil bhi maqtool bhi donon naam khuda ka lete the,
Koi khuda hai to wo kahaan tha, meri kya auqaat likhun...
Apni apni tareeki ko log ujaala kahte hain,
Tareeki ke naam likhun to qaumein firqe zaat likhun...
Jaane ye kaisa daur hai jis mein jur'at bhi to mushkil hai,
Din ho agar to us ko likhun din, raat agar ho raat likhun.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment