Khula hai dar pa tera intizaar jaata raha..
Khuloos to hai magar aitibaar jaata raha.!
Kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai wahi..
Magar kabhi jo humein tha khumaar jaata raha.!
Kabhi jo seene mein ek aag thi wo sard hui..
Kabhi nigaah mein jo tha sharaar jaata raha.!
Ajab sa chain tha hum ko ke jab the hum be-chain..
Qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha.!
Kabhi to meri bhi sunwaai hogi mahfil mein..
Main ye ummid liye baar baar jaata raha.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment