Humein Nazdeek Kab Dil Ki Mohabbat Kheench Laati Hai..
Tujhe Teri, Mujhe Meri Zaroorat Kheench Laati Hai,
Chhupa Hai Jo Khazana Tah Mein In Banjar Zameenon Mein..
Ise Baahar Zameen Se Meri Mahnat Kheench Laati Hai,
Main Maazi Ko Bhula Kar Apne Mustaqbil Mein Zinda Hun..
Nigaahon Se Hai Jo Ojhal Bashaarat Kheench Laati Hai,
Mera Dushman Meri Aankhon Se Ojhal Ho Nahi Sakta..
Mere Nazdeek Us Ko Dil Ki Nafrat Kheench Laati Hai,
Samandar Paar Jaane Waale Ek Din Laut Aayenge..
Mera Imaan Hai Mitti Ki Mohabbat Kheench Laati Hai,
Jo Apna Ghar Kisi Ke Ishq Mein Barbaad Karte Hai..
Unhein Sahra Mein Un Ke Dil Ki Wahshat Kheench Laati Hai,
Kabhi Hota Hai Jo Veeraan Mere Shahar Ka Maqtal..
Kisi Mansoor Ko 'Aarif' Sadaqat Kheench Laati Hai.!!
"Aarif Shafeeq"
ہمیں نزدیک کب دل کی محبت کھینچ لاتی ہے
تجھے تیری، مجھے میری ضرورت کھینچ لاتی ہے..
چھپا ہے جو خزانہ تہہ میں ان بنجر زمینوں کی
اسے باہر زمیں سے میری محنت کھینچ لاتی ہے..
میں ماضی کو بھلا کر اپنے مستقبل میں زندہ ہوں
نگاہوں سے ہے جو اوجھل بشارت کھینچ لاتی ہے..
مرا دشمن مری آنکھوں سے اوجھل ہو نہیں سکتا
مرے نزدیک اس کو دل کی نفرت کھینچ لاتی ہے..
سمندر پار جانے والے اک دن لوٹ آئیں گے
مرا ایماں ہے مٹی کی محبت کھینچ لاتی ہے..
جو اپنا گھر کسی کے عشق میں برباد کرتے ہیں
انہیں صحرا میں ان کے دل کی وحشت کھینچ لاتی ہے..
کبھی ہوتا ہے جو ویران میرے شہر کا مقتل
کسی منصور کو عارف صداقت کھینچ لاتی ہے..
"عارف شفیق"
No comments:
Post a Comment